KHamoshi
lo maiñ ne qalam ko dho Daalā
lo merī zabāñ par taalā hai
lo maiñ ne āñkheñ bañd kar liiñ
lo parcham saare bāñdh liye
na.aroñ ko gale meñ ghoñT diyā
ehsās ke tāne-bāne ko
phir maiñ ne havāle daar kiyā
is dil kī kasak ko maan liyā
ek āḳhirī bosa denā hai
aur apne larazte hāthoñ se
ḳhanjar ke havāle karnā hai
lo maiñ ne qalam ko dho Daalā
lo merī zabāñ par taalā hai
ilzām ye aayad thā mujh par
har lafz mirā ek nashtar hai
jo kuchh bhī likhā jo kuchh bhī kahā
vo desh-virodhī bāteñ thiiñ
aur hukm kiyā thā ye sādir
tahzīb ke is gahvāre ko
jo merī nazar se dekhegā
vo ik mulzim kahlā.egā
lo maiñ ne qalam ko dho Daalā
lo merī zabāñ par taalā hai
jo ishq ke naġhme gā.egā
jo pyaar kī baanī bolegā
jo baat kahegā gītoñ meñ
jo aag bujhāne uTThegā
jo haath jhaTak de qātil kā
vo ik mujrim kahlā.egā
lo maiñ ne qalam ko dho Daalā
lo merī zabāñ par taalā hai
ḳhāmosh huuñ maiñ sannāTā hai
kyoñ sahme sahme lagte ho
har ek zabāñ par taalā hai
kyoñ sahme sahme lagte ho
lo maiñ ne qalam ko dho Daalā
lo merī zabāñ par taalā hai
haañ sannāTe kī guuñj suno
haiñ lafz vahī andāz vahī
har zālim jābir har qātil
is sannāTe kī zad par hai
ḳhāmoshī ko ḳhāmosh karo
ye baat tumhāre bas meñ nahīñ
ḳhāmoshī to ḳhāmoshī hai
gar phail ga.ī to phail ga.ī
lo main ne qalam ko dho Dala
lo meri zaban par tala hai
lo main ne aankhen band kar lin
lo parcham sare bandh liye
naron ko gale mein ghonT diya
ehsas ke tane-bane ko
phir main ne hawale dar kiya
is dil ki kasak ko man liya
ek aaKHiri bosa dena hai
aur apne larazte hathon se
KHanjar ke hawale karna hai
lo main ne qalam ko dho Dala
lo meri zaban par tala hai
ilzam ye aayad tha mujh par
har lafz mera ek nashtar hai
jo kuchh bhi likha jo kuchh bhi kaha
wo desh-wirodhi baaten thin
aur hukm kiya tha ye sadir
tahzib ke is gahware ko
jo meri nazar se dekhega
wo ek mulzim kahlaega
lo main ne qalam ko dho Dala
lo meri zaban par tala hai
jo ishq ke naghme gaega
jo pyar ki bani bolega
jo baat kahega giton mein
jo aag bujhane uTThega
jo hath jhaTak de qatil ka
wo ek mujrim kahlaega
lo main ne qalam ko dho Dala
lo meri zaban par tala hai
KHamosh hun main sannaTa hai
kyon sahme sahme lagte ho
har ek zaban par tala hai
kyon sahme sahme lagte ho
lo main ne qalam ko dho Dala
lo meri zaban par tala hai
han sannaTe ki gunj suno
hain lafz wahi andaz wahi
har zalim jabir har qatil
is sannaTe ki zad par hai
KHamoshi ko KHamosh karo
ye baat tumhaare bas mein nahin
KHamoshi to KHamoshi hai
gar phail gai to phail gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.