KHamoshi
sabhī ne kahā dil lagānā ġhalat hai
magar maiñ ye samjhā zamānā ġhalat hai
ye merī ḳhatā hai sazā bhī mujhe de
du'ā bhī mujhe de qazā bhī mujhe de
agar ho sakā to kabhī lauT kar bhī
tujhe maiñ milūñgā yahīñ par kahīñ par
mirī ye jo duniyā tire hī liye thī
le maiñ chhoḌtā huuñ tirī sarzamīñ par
magar yaad rakhnā mirī 'āshiqī ko
mire saath guzrī vo har ik ghaḌī ko
mileñge agar ham kabhī is jahāñ meñ
to phir se suneñge usī ḳhāmushī ko
vahī ḳhāmushī jo hamāre laboñ pe
mulāqāt ke vaqt aatī thī aksar
vahī ḳhāmushī jo hamāre diloñ meñ
na.e pyaar ke giit gaatī thī aksar
mujhe hai ḳhabar sab badal sā gayā hai
magar ḳhāmushī ko ye kahte sunā hai
chalo aaj phir se vahī giit gaa.eñ
chalo apnī chāhat ko phir āzmā.eñ
sabhi ne kaha dil lagana ghalat hai
magar main ye samjha zamana ghalat hai
ye meri KHata hai saza bhi mujhe de
du'a bhi mujhe de qaza bhi mujhe de
agar ho saka to kabhi lauT kar bhi
tujhe main milunga yahin par kahin par
meri ye jo duniya tere hi liye thi
le main chhoDta hun teri sarzamin par
magar yaad rakhna meri 'ashiqi ko
mere sath guzri wo har ek ghaDi ko
milenge agar hum kabhi is jahan mein
to phir se sunenge usi KHamushi ko
wahi KHamushi jo hamare labon pe
mulaqat ke waqt aati thi aksar
wahi KHamushi jo hamare dilon mein
nae pyar ke git gati thi aksar
mujhe hai KHabar sab badal sa gaya hai
magar KHamushi ko ye kahte suna hai
chalo aaj phir se wahi git gaen
chalo apni chahat ko phir aazmaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.