Khaarji shikast
mujhe aaj phir tum se mil kar baḌī nā-umīdī huī hai
vahī tarz-e-guftār chehre pe gahrī udāsī kā aalam
zamāne kī bedād hālāt kī kaj-adā.ī kā shikva
tag-o-tār taqdīr kī nā-rasā.ī kā mātam
tahī-dāmanī par pashemān hone kī ma.asūm koshish
javāñ ḳhūbsūrat mahakte hue roz-o-shab kā tasavvur
nashāt-āfrīñ mahfiloñ meñ kabhī bāryābī kā darmāñ
gulāboñ kī mānind khilte hue jism chhūne kī ḳhvāhish
mujhe kab se hasrat hai ik shab kabhī tum
mirī mahfil-e-nāz meñ yuuñ bhī aate
mujhe jism-o-jāñ kī sabhī rāhateñ sauñp dene meñ koī
takalluf na hotā
mujhe aaj phir tum se mil kar baDi na-umidi hui hai
wahi tarz-e-guftar chehre pe gahri udasi ka aalam
zamane ki bedad haalat ki kaj-adai ka shikwa
tag-o-tar taqdir ki na-rasai ka matam
tahi-damani par pasheman hone ki masum koshish
jawan KHubsurat mahakte hue roz-o-shab ka tasawwur
nashat-afrin mahfilon mein kabhi baryabi ka darman
gulabon ki manind khilte hue jism chhune ki KHwahish
mujhe kab se hasrat hai ek shab kabhi tum
meri mahfil-e-naz mein yun bhi aate
mujhe jism-o-jaan ki sabhi rahaten saunp dene mein koi
takalluf na hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.