KHas paniyon ki aas mein
ḳhuun meñ tumhāre haiñ
kaun se jis meñ kam
surḳh yā safed
sā.atoñ ko ghol kar piyo
ki dhuup tez hai
kal jo nannhī koñpleñ thiiñ
bel ban ke
āsmāñ kā muñh chiḌā rahī haiñ aaj
raushnī se duur
ḳhaas mausamoñ ke pāniyoñ kī aas meñ
band muñh sadaf liye
gard se aTī chhatoñ se apne sar nikāl kar
phailtī hī jā rahī haiñ
aur tum
dā.īñ paslī haath meñ liye hue
bā.īñ paslī DhūñDne
har ik āsmāñ khañgāl aa.e ho
shahāb TuuT kar gireñ ki ḳhvāb dekhtā nahīñ
koī udaas rāstoñ ko dekh kar
rukā nahīñ
zamīñ se āsmāñ kā thā kabhī jo silsila nahīñ
baġhair tesha mar sake koī yahāñ
vo dāstāñ ke shāhzāde haiñ kahāñ
KHun mein tumhaare hain
kaun se jis mein kam
surKH ya safed
saaton ko ghol kar piyo
ki dhup tez hai
kal jo nannhi konplen thin
bel ban ke
aasman ka munh chiDa rahi hain aaj
raushni se dur
KHas mausamon ke paniyon ki aas mein
band munh sadaf liye
gard se aTi chhaton se apne sar nikal kar
phailti hi ja rahi hain
aur tum
dain pasli hath mein liye hue
bain pasli DhunDne
har ek aasman khangal aae ho
shahab TuT kar giren ki KHwab dekhta nahin
koi udas raston ko dekh kar
ruka nahin
zamin se aasman ka tha kabhi jo silsila nahin
baghair tesha mar sake koi yahan
wo dastan ke shahzade hain kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.