KHatma
aise lagtā hai ki jaise ho gayā hai aaj merā ḳhātma
aur merī soch merī aatmā
merī albelī udāsī mast sanyāsī bhaTaktī phir rahī hai shahr-shahr
ban ke ik bezār bhuut
chhoḌ kar parbat kī lahr
maiñ bhaTaktā phir rahā huuñ maiñ huuñ lekin maiñ nahīñ
merā saaya be-hisī merā sukūt
zār-o-tanhā ek suunā megh-dūt
aaj maiñ huuñ ek bhuut
maiñ machaltā maiñ nahīñ
aise lagta hai ki jaise ho gaya hai aaj mera KHatma
aur meri soch meri aatma
meri albeli udasi mast sanyasi bhaTakti phir rahi hai shahr-shahr
ban ke ek bezar bhut
chhoD kar parbat ki lahr
main bhaTakta phir raha hun main hun lekin main nahin
mera saya be-hisi mera sukut
zar-o-tanha ek suna megh-dut
aaj main hun ek bhut
main machalta main nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.