KHabar
bail ne gaa.e kā muñh chūmā ḳhabar ban na sakī
dekhne vāloñ ko irfān-e-nazar ho na sakā
ghoḌe ne ghoḌī kā muñh chūmā ḳhabar ban na sakī
hinhināyā pe koī ahl-e-ḳhabar ho na sakā
ye ḳhabar hai ki sar-e-rāh kisī laḌkī ko
chūmtā pakḌā gayā ek sharābī laḌkā
vahīñ qānūn kī zanjīr-e-girāñ tauq banī
vahīñ aḳhbār kī surḳhī ne unheñ jā pakḌā
maiñ yahī soch rahā thā ki sar-e-shām mujhe
jaate sūraj ke bhī atvār kuchh aise hī mile
us kā muñh zard thā ehsās-e-judā.ī hogā
us ne ik badlī kā muñh chuum liyā chupke se
daf.atan badlī kā muñh surḳh huā aur hayā
dauḌī ḳhuuñ ban ke rag-o-pai meñ ki gulnār huī
us ke dāman pe chhalak uTThe sitāre aañsū
aur sūraj kī tarah ḳhud bhī vahīñ Duub ga.ī
vahī taare the magar raat ke aḳhbār-farosh
ye ḳhabar shaam se hī saare falak par pahuñchī
pahle to lākhoñ darīchoñ se nigahbāñ jhāñke
chāñdnī chhiTkī to phir chāñd ne kī rakhvālī
sub.h-dam niiñd ke maate the sabhī ahl-e-falak
sūraj aayā to kisī ko na rahā is kā ḳhayāl
vahī badlī thī ufuq par vahī unvān-e-hayā
donoñ takte rahe mab.hūt nigāhoñ se jamāl
phir mohabbat ne kiyā sabt salām-e-rañgīñ
surḳh badlī kā lahū dauḌ gayā chaar taraf
donoñ ḳhush the unheñ ma.alūm thā āzād haiñ vo
un kā milnā nahīñ insāñ kī nigāhoñ kā hadaf
maiñ ne dekhī hai magar donoñ kī ye gustāḳhī
maiñ ḳhabar detā huuñ aḳhbār ko dekho to sahī
bail ne gae ka munh chuma KHabar ban na saki
dekhne walon ko irfan-e-nazar ho na saka
ghoDe ne ghoDi ka munh chuma KHabar ban na saki
hinhinaya pe koi ahl-e-KHabar ho na saka
ye KHabar hai ki sar-e-rah kisi laDki ko
chumta pakDa gaya ek sharabi laDka
wahin qanun ki zanjir-e-giran tauq bani
wahin aKHbar ki surKHi ne unhen ja pakDa
main yahi soch raha tha ki sar-e-sham mujhe
jate suraj ke bhi atwar kuchh aise hi mile
us ka munh zard tha ehsas-e-judai hoga
us ne ek badli ka munh chum liya chupke se
dafatan badli ka munh surKH hua aur haya
dauDi KHun ban ke rag-o-pai mein ki gulnar hui
us ke daman pe chhalak uTThe sitare aansu
aur suraj ki tarah KHud bhi wahin Dub gai
wahi tare the magar raat ke aKHbar-farosh
ye KHabar sham se hi sare falak par pahunchi
pahle to lakhon darichon se nigahban jhanke
chandni chhiTki to phir chand ne ki rakhwali
subh-dam nind ke mate the sabhi ahl-e-falak
suraj aaya to kisi ko na raha is ka KHayal
wahi badli thi ufuq par wahi unwan-e-haya
donon takte rahe mabhut nigahon se jamal
phir mohabbat ne kiya sabt salam-e-rangin
surKH badli ka lahu dauD gaya chaar taraf
donon KHush the unhen malum tha aazad hain wo
un ka milna nahin insan ki nigahon ka hadaf
main ne dekhi hai magar donon ki ye gustaKHi
main KHabar deta hun aKHbar ko dekho to sahi
- Book : shaahraah(12) (Pg. 68)
- Edition : 1950
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.