KHalish
ai qalam aa tujhe bosa de duuñ
dard shāyad koī bedār huā
ki ḳhalish aaj mire dil meñ sivā hotī hai
dastakeñ dard kī pahle bhī to hotī thiiñ magar
chhup ke pahle bhī to ro.e dar-o-dīvār ke saath
kyā gunahgār na the log purāne bhī magar
ġham kī duniyā bhī bahar-taur thī ābād magar
ġham-zada koī to ġham-ḳhvār huā karte the
kitne parde meñ gunahgār huā karte the
har jarāhat ke liye nusḳha-e-marham hotā
dard hotā thā magar tham ke bhī kam-kam hotā
ai qalam aa tujhe bosa de dun
dard shayad koi bedar hua
ki KHalish aaj mere dil mein siwa hoti hai
dastaken dard ki pahle bhi to hoti thin magar
chhup ke pahle bhi to roe dar-o-diwar ke sath
kya gunahgar na the log purane bhi magar
gham ki duniya bhi bahar-taur thi aabaad magar
gham-zada koi to gham-KHwar hua karte the
kitne parde mein gunahgar hua karte the
har jarahat ke liye nusKHa-e-marham hota
dard hota tha magar tham ke bhi kam-kam hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.