KHamoshi dastak naqab
ḳhamoshī
ḳhamoshī
musalsal ḳhamoshī thī dil ke nagar meñ
ḳhamoshī hī taqdīr-e-insāñ ho jaise
ki ik din achānak
dar-e-dil pe dastak huī
masarrat madhur giit gaane lagī
tamannāoñ ke lab pe bhī phuul khilne lage
ruḳh-e-vaqt se
sarakne lagīñ chādaroñ kī taheñ
vo chehra
hazāroñ meñ jo ek thā
tasavvur kī āñkhoñ kī putlī banā
vo lab jin ko farmāyā hai 'mīr' ne
gul-e-surḳh kī pankhuḌī
ḳhayālāt ko kar ga.e shakkarīñ
hinā-rang saarī fazā ho ga.ī
vo gesū
ghaTā.eñ bhī detī thiiñ jin ko ḳhirāj
dil-o-dīda par chhā ga.e
sukūñ rāz-e-taḳh.īl dikhlā ga.e
magar shauq ke haath ne baḌh ke kholā jo dar
na thā koī chehra
na lab the
na gesū
faqat ik hayūlā thā zer-e-naqāb
KHamoshi
KHamoshi
musalsal KHamoshi thi dil ke nagar mein
KHamoshi hi taqdir-e-insan ho jaise
ki ek din achanak
dar-e-dil pe dastak hui
masarrat madhur git gane lagi
tamannaon ke lab pe bhi phul khilne lage
ruKH-e-waqt se
sarakne lagin chadaron ki tahen
wo chehra
hazaron mein jo ek tha
tasawwur ki aankhon ki putli bana
wo lab jin ko farmaya hai 'mir' ne
gul-e-surKH ki pankhuDi
KHayalat ko kar gae shakkarin
hina-rang sari faza ho gai
wo gesu
ghaTaen bhi deti thin jin ko KHiraj
dil-o-dida par chha gae
sukun raaz-e-taKHil dikhla gae
magar shauq ke hath ne baDh ke khola jo dar
na tha koi chehra
na lab the
na gesu
faqat ek hayula tha zer-e-naqab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.