khanDar
ye vahī galiyāñ haiñ jin kī qabroñ meñ
merā bachpan haDDiyoñ kī shakl meñ bikhrā paḌā hai
aur maiñ jo kuchh bhī thā
vo gir chukā hai
ek khañDar ban chukā hai
chāñdnī kī sāñvlī kirnoñ meñ ghabrā.ī huī
anginat rūheñ
guzashta shahroñ se bhāgī huī
ab fasād-e-shahr pe hairān shashdar
apnī qabroñ par
parindoñ kī tarah baiThī huī
aur un kī āñkheñ jaise
taaq meñ
guzre zamānoñ ke diye
ye wahi galiyan hain jin ki qabron mein
mera bachpan haDDiyon ki shakl mein bikhra paDa hai
aur main jo kuchh bhi tha
wo gir chuka hai
ek khanDar ban chuka hai
chandni ki sanwli kirnon mein ghabrai hui
anginat ruhen
guzashta shahron se bhagi hui
ab fasad-e-shahr pe hairan shashdar
apni qabron par
parindon ki tarah baiThi hui
aur un ki aankhen jaise
taq mein
guzre zamanon ke diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.