KHat-e-abyaz
ai dil
mere dariyā-e-darūñ ko
ġhubār-e-be-panāh ko
aahoñ kī ghaTāoñ ko
jo apnī nā-rasā.ī par
pashemāñ haiñ
kahāñ DhūñDegā tū
lahroñ meñ samundaroñ kī
ābshāroñ meñ
sahrā meñ
jangal meñ
bayābānoñ meñ pahāḌoñ meñ
chaTānoñ kī guphāoñ meñ
hañsī aatī hai tujh par
nahīñ mumkin nahīñ
tere liye
us kī gahrā.ī ko pā lenā
ġhubār-e-be-panāh kī
vus.at-e-parvāz chhū lenā
nahīñ mumkin ki
tū pā le
ghaTāoñ meñ merī aahoñ ko
ḳhat-e-abyaz sahar-āsār zau meñ
ai dil
pareshāñ to na honā aur
mujhe sharminda mat karnā
ai dil
mere dariya-e-darun ko
ghubar-e-be-panah ko
aahon ki ghaTaon ko
jo apni na-rasai par
pasheman hain
kahan DhunDega tu
lahron mein samundaron ki
aabshaaron mein
sahra mein
jangal mein
bayabanon mein pahaDon mein
chaTanon ki guphaon mein
hansi aati hai tujh par
nahin mumkin nahin
tere liye
us ki gahrai ko pa lena
ghubar-e-be-panah ki
wusat-e-parwaz chhu lena
nahin mumkin ki
tu pa le
ghaTaon mein meri aahon ko
KHat-e-abyaz sahar-asar zau mein
ai dil
pareshan to na hona aur
mujhe sharminda mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.