KHat ka jawab
jab tire shahr-o-kūcha-o-dar se
zindagī sargirāñ rahī tū ne
koī ahd-e-vafā kī baat na kī
tere kirdār ke charāġhoñ meñ
husn jaltā rahā taqaddus kā
vo taqaddus ki jis kā sarmāya
nūr-e-shā.istagī-o-sharm-o-hayā
rif.at-e-dilbarī-o-rang-e-hinā
shoḳhī-o-be-ḳhudī-o-nāz-o-adā
tū ne apnī havas kī nazr kiyā
phir bhī tū mutma.in rahī ki tirī
fikr-o-fitrat kā bol-bālā thā
is jahān-e-ḳharāb meñ ki jahāñ
terī fir.auniyat ke charche the
merī duniyā pe ek vaqt paḌā
sub.heñ apnā nikhār bhuul ga.iiñ
shāmeñ afsurdagī ke naam huiiñ
rāteñ muñh Dhāñp Dhāñp kar roiiñ
phir bhī tujh ko koī ḳhabar na huī
vaqt guzrā guzarne vaalā thā
vaqt ne kab kisī kā saath diyā
ai mirī aaj kī qalo-patra
aur ab jab ki zindagī ke liye
koī fikr-e-nashāt-o-ġham bhī nahīñ
apnī chāhat kā vāsta de kar
ab mujhe kyoñ bulā rahī hai tū
jab tire shahr-o-kūcha-o-dar se
zindagī sargirāñ rahī tū ne
koī ahd-e-vafā kī baat na kī
jab tere shahr-o-kucha-o-dar se
zindagi sargiran rahi tu ne
koi ahd-e-wafa ki baat na ki
tere kirdar ke charaghon mein
husn jalta raha taqaddus ka
wo taqaddus ki jis ka sarmaya
nur-e-shaistagi-o-sharm-o-haya
rifat-e-dilbari-o-rang-e-hina
shoKHi-o-be-KHudi-o-naz-o-ada
tu ne apni hawas ki nazr kiya
phir bhi tu mutmain rahi ki teri
fikr-o-fitrat ka bol-baala tha
is jahan-e-KHarab mein ki jahan
teri firauniyat ke charche the
meri duniya pe ek waqt paDa
subhen apna nikhaar bhul gain
shamen afsurdagi ke nam huin
raaten munh Dhanp Dhanp kar roin
phir bhi tujh ko koi KHabar na hui
waqt guzra guzarne wala tha
waqt ne kab kisi ka sath diya
ai meri aaj ki qalo-patra
aur ab jab ki zindagi ke liye
koi fikr-e-nashat-o-gham bhi nahin
apni chahat ka wasta de kar
ab mujhe kyon bula rahi hai tu
jab tere shahr-o-kucha-o-dar se
zindagi sargiran rahi tu ne
koi ahd-e-wafa ki baat na ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.