KHauf-e-nagahan
maiñ december kī ThanD meñ aksar
pahan letā huuñ
us sweater ko
vo sweater kabhī jise tū ne
apne hāthoñ se
mere liye bunā thā
vo sweater ki jis ke
har ek phande meñ
tū ne apne lams ko
apne pyaar ke saath bun kar
mujhe sauñp diyā thā
ki maiñ use
zeb-tan kar luuñ
aur
duur hote hue bhī maiñ tujh se
tere bilkul qarīb ho jā.ūñ
vo sweater jo ek zarīya thā tere mere qarīb hone kā
terī furqat tire visāl meñ maiñ
zeb-tan kartā thā use aksar
lekin is baar ke december meñ
ThanD bhī hai
aur tirā firāq bhī hai
magar na jaane kyoñ
mujhe ye ḳhauf khaa.e jaatā hai
ki vo sweater
jo kabhī qurbateñ baḌhātā thā
fāsle miTātā thā
tujh se mujhe
aur duur na kar de
rone ko majbūr na kar de
main december ki ThanD mein aksar
pahan leta hun
us sweater ko
wo sweater kabhi jise tu ne
apne hathon se
mere liye buna tha
wo sweater ki jis ke
har ek phande mein
tu ne apne lams ko
apne pyar ke sath bun kar
mujhe saunp diya tha
ki main use
zeb-tan kar lun
aur
dur hote hue bhi main tujh se
tere bilkul qarib ho jaun
wo sweater jo ek zariya tha tere mere qarib hone ka
teri furqat tere visal mein main
zeb-tan karta tha use aksar
lekin is bar ke december mein
ThanD bhi hai
aur tera firaq bhi hai
magar na jaane kyon
mujhe ye KHauf khae jata hai
ki wo sweater
jo kabhi qurbaten baDhata tha
fasle miTata tha
tujh se mujhe
aur dur na kar de
rone ko majbur na kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.