KHauf
niiñd aatī nahīñ ḳhvāb ke ḳhauf se
ḳhvāb dekhā to phir
aas lag jā.egī
aas TuuTī to āñkhoñ meñ
chubhtī huī kirchiyāñ
ḳhuuñ rulā.eñgī
āñkhoñ ko be-nūr kar jā.eñgī
ḳhush-gumānī kī
uḌtī huī titliyāñ
rang kho deñgī
be-maut mar jā.eñgī
is liye niiñd se merī bantī nahīñ
aañkh lagtī nahīñ
ḳhvāb ke ḳhauf se
bhuul kar bhī maiñ palkeñ
jhapaktī nahīñ
nind aati nahin KHwab ke KHauf se
KHwab dekha to phir
aas lag jaegi
aas TuTi to aankhon mein
chubhti hui kirchiyan
KHun rulaengi
aankhon ko be-nur kar jaengi
KHush-gumani ki
uDti hui titliyan
rang kho dengi
be-maut mar jaengi
is liye nind se meri banti nahin
aankh lagti nahin
KHwab ke KHauf se
bhul kar bhi main palken
jhapakti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.