KHauf
ye duniyā qaid-ḳhāna hai
ham is ke tā-dam-e-āḳhir muqayyad haiñ
ye jitnī gaḌbaḌeñ uljhan haiñ in kā hal talāshūñ maiñ
yā behtar hai
sabhī uljhan sabhī sochoñ sabhī girhoñ ko jaisī haiñ inheñ vaise hī rahne duuñ
sazā kāTūñ
rihā ho luuñ
'ajab girheñ paḌī haiñ zaat ki har ek goshe meñ
mirī socheñ hazāroñ uljhanoñ meñ qaid haiñ shāyad
du'ā do tum
inheñ suljhā sakūñ maiñ bhī
magar ik ḳhauf hai mujh ko
batāo tum ulajhtī be-panah girhoñ ko suljhāte hue ḳhud se ulajh jā.ūñ
to tum pāgal bulāoge mujhe bolo
ye duniya qaid-KHana hai
hum is ke ta-dam-e-aKHir muqayyad hain
ye jitni gaDbaDen uljhan hain in ka hal talashun main
ya behtar hai
sabhi uljhan sabhi sochon sabhi girhon ko jaisi hain inhen waise hi rahne dun
saza kaTun
riha ho lun
'ajab girhen paDi hain zat ki har ek goshe mein
meri sochen hazaron uljhanon mein qaid hain shayad
du'a do tum
inhen suljha sakun main bhi
magar ek KHauf hai mujh ko
batao tum ulajhti be-panah girhon ko suljhate hue KHud se ulajh jaun
to tum pagal bulaoge mujhe bolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.