KHayal ke jangal mein basa ek laDka
tum ḳhāmosh havā ho
pahāḌoñ nadiyoñ dariyāoñ se guzarte hue
na koī nishān banāte ho
na koī alāmat
lekin tumhārī hañstī āñkheñ
manzaroñ kā ras kashīd kar letī haiñ
aur tumhārī dāḌhī
jis ke ek ek baal kī chubhan
kisī anjān dhartī ke
umr-rasīd sabze jaisī hai
jis ne jaane kitne dariyāoñ kā paanī piyā hai
aur maiñ tumhāre sang
nāḳhunoñ ke bal chaltī huuñ
aur hañstī jaatī huuñ
mujhe ḳhabar hī nahīñ ki nāḳhun
kab se uñgliyoñ ke andar
dhañs chuke haiñ
lahūluhān haiñ
tum KHamosh hawa ho
pahaDon nadiyon dariyaon se guzarte hue
na koi nishan banate ho
na koi alamat
lekin tumhaari hansti aankhen
manzaron ka ras kashid kar leti hain
aur tumhaari daDhi
jis ke ek ek baal ki chubhan
kisi anjaan dharti ke
umr-rasid sabze jaisi hai
jis ne jaane kitne dariyaon ka pani piya hai
aur main tumhaare sang
naKHunon ke bal chalti hun
aur hansti jati hun
mujhe KHabar hi nahin ki naKHun
kab se ungliyon ke andar
dhans chuke hain
lahuluhan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.