KHayalon KHwabon ka ek nagar tha
ḳhayāloñ ḳhvāboñ kā ik nagar thā
vahīñ pe merā bhī ek ghar thā
aur us ke dīvār-o-dar ke andar
mirā jahāñ thā mirī kitābeñ
maiñ un meñ kho kar fasāne suntī
aur apnī bhī ik kahānī buntī
tumheñ sunātī to dekhtī maiñ
tumhārī āñkhoñ meñ vo hī sapne
jo merī āñkheñ bhī dekhtī thiiñ
sajīle din aur nashīlī shāmeñ
añdherī rātoñ meñ mere dilbar
hazāroñ tāroñ kī vo barāteñ
magar haqīqat ye hai ki ḳhvāboñ
kī hai jo duniyā vo sach nahīñ hai
mujhe ḳhabar kyā ki tum kitāboñ
kī bastiyoñ se chale ga.e the
tumhārī bātoñ ko yaad kar ke
hazāroñ ḳhat bhī likhe the maiñ ne
na maiñ ne samjhā na maiñ ne jaanā
ki tum to ḳhvāboñ kī is Dagar se
bhī kaafī aage nikal chuke the
ulajh rahe the ḳhayāl saare
jo ḳhvāb the sab ujaḌ ga.e the
kitāb-e-dil ke varaq bhī saare
phaTe paḌe the bikhar ga.e the
ab us kī dīvār-o-dar ke andar
hai bas añdherā hai bas añdherā
ḳhayāloñ ḳhvāboñ kā ik nagar thā
vahīñ pe merā jo ek ghar thā
KHayalon KHwabon ka ek nagar tha
wahin pe mera bhi ek ghar tha
aur us ke diwar-o-dar ke andar
mera jahan tha meri kitaben
main un mein kho kar fasane sunti
aur apni bhi ek kahani bunti
tumhein sunati to dekhti main
tumhaari aankhon mein wo hi sapne
jo meri aankhen bhi dekhti thin
sajile din aur nashili shamen
andheri raaton mein mere dilbar
hazaron taron ki wo baraaten
magar haqiqat ye hai ki KHwabon
ki hai jo duniya wo sach nahin hai
mujhe KHabar kya ki tum kitabon
ki bastiyon se chale gae the
tumhaari baaton ko yaad kar ke
hazaron KHat bhi likhe the main ne
na main ne samjha na main ne jaana
ki tum to KHwabon ki is Dagar se
bhi kafi aage nikal chuke the
ulajh rahe the KHayal sare
jo KHwab the sab ujaD gae the
kitab-e-dil ke waraq bhi sare
phaTe paDe the bikhar gae the
ab us ki diwar-o-dar ke andar
hai bas andhera hai bas andhera
KHayalon KHwabon ka ek nagar tha
wahin pe mera jo ek ghar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.