khiDki
merī jaisī nazmeñ likhne vaalī laḌkī
jis khiḌkī kī oT se mujh ko dekh rahī hai
us ke dhuñdle shīshoñ par sab aks haiñ
merī āñkhoñ se bahte paanī ke
aur naqsh haiñ us kī chaukhaT par un hāthoñ ke
us khiḌkī kī āñkhoñ se dekhā hai maiñ ne
achchhā aur burā lamha
aur andar aur bāhar ke sab mausam vahīñ se guzre haiñ
is khiḌkī ke aage girtā har manzar tasvīr kiyā
din kī ujlī aahaT ko ta.abīr kiyā
raat sitāroñ se bhar kar shīshoñ meñ uñDelī
apnī āñkheñ de kar taaq meñ phūloñ jaise ḳhvāb sajā.e
apne tan par gard lapeTī
khiḌkī par kahīñ jam nahīñ jaa.e
bāhar se aate kañkar patthar aur kāñTe
chupke se is dil meñ chhupā.e
khiḌkī kā koī bhī shīsha TuuT na jaa.e
bas itnī sī baat kā koī dhyān na aayā
khiḌkī āḳhir kisī bhī samt ko khul saktī hai
merī riyāzat merī mohabbat
tund havā ke is jhoñke se
aur bārish kī tez phuvār se
chand lamhoñ meñ ghul saktī hai
dhul saktī hai
meri jaisi nazmen likhne wali laDki
jis khiDki ki oT se mujh ko dekh rahi hai
us ke dhundle shishon par sab aks hain
meri aankhon se bahte pani ke
aur naqsh hain us ki chaukhaT par un hathon ke
us khiDki ki aankhon se dekha hai main ne
achchha aur bura lamha
aur andar aur bahar ke sab mausam wahin se guzre hain
is khiDki ke aage girta har manzar taswir kiya
din ki ujli aahaT ko tabir kiya
raat sitaron se bhar kar shishon mein unDeli
apni aankhen de kar taq mein phulon jaise KHwab sajae
apne tan par gard lapeTi
khiDki par kahin jam nahin jae
bahar se aate kankar patthar aur kanTe
chupke se is dil mein chhupae
khiDki ka koi bhi shisha TuT na jae
bas itni si baat ka koi dhyan na aaya
khiDki aaKHir kisi bhi samt ko khul sakti hai
meri riyazat meri mohabbat
tund hawa ke is jhonke se
aur barish ki tez phuwar se
chand lamhon mein ghul sakti hai
dhul sakti hai
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 41)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.