khir kaun kha gaya
Interesting Fact
(Qazi Ahu is searching the kitchen)
thāliyāñ bhī saaf haiñ
pyāliyāñ bhī saaf haiñ
khiir kaun khā gayā
kuchh nahīñ hai degchī meñ taab meñ parāt meñ
koī chor khā gayā hai khiir raat raat meñ
saaf haiñ rakābiyāñ ghaḌoliyāñ kaToriyāñ
is meñ do kachauriyāñ haiñ is meñ chaar toriyāñ
khiir kaun khā gayā
ho na ho ye kaam hai tauqīr bhaa.ī jaan kā
bhālū ehtishām kā lomaḌ imtinān kā
ammī jaan
ammī jaan
aap kā luTorā beTā merī khiir khā gayā
aap kā chaTorā beTā merī khiir khā gayā
merī khiir khā gayā
maiñ bhī phaaḌ dūñgā dekh lenā us kī copiyāñ
kaaT dūñgā pencileñ
toḌ dūñgā botaleñ
phoḌ dūñgā hit hit baal aur hākiyāñ
jaaj bolī aahū beTā ye kyā dhuum machā.ī hai
maiñ ne khiir kī baat hī kī thī kis ne ye khiir pakā.ī hai
thaaliyan bhi saf hain
pyaliyan bhi saf hain
khir kaun kha gaya
kuchh nahin hai degchi mein tab mein paraat mein
koi chor kha gaya hai khir raat raat mein
saf hain rakabiyan ghaDoliyan kaToriyan
is mein do kachauriyan hain is mein chaar toriyan
khir kaun kha gaya
ho na ho ye kaam hai tauqir bhai jaan ka
bhaalu ehtisham ka lomaD imtinan ka
ammi jaan
ammi jaan
aap ka luTora beTa meri khir kha gaya
aap ka chaTora beTa meri khir kha gaya
meri khir kha gaya
main bhi phaD dunga dekh lena us ki copiyan
kaT dunga pencilen
toD dunga botalen
phoD dunga hit hit baal aur hakiyan
jaj boli aahu beTa ye kya dhum machai hai
main ne khir ki baat hi ki thi kis ne ye khir pakai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.