khilaune
nanhā thormas nannhī gas aur nanhā nāshte daan
chhoTe chhoTe babve aur ye un ke bhā.ī-jān
chīnī ke dāroġha jī aur daftī ke darbān
laa.ī haiñ apne saath hamāre vāste ye sāmān
aa.iiñ mamānī-jān hamārī aa.iiñ mamānī-jān
aa.iiñ mamānī-jān
Tiin kā ullū mom kā baunā lakḌī kī bandūq
kapḌe ke ik jakkaḌ-ḳhāñ aur shīshe kā berūq
pītal ke kuchh sāras bagule jaadū kā sandūq
khel khilaunoñ se haiñ saje sab kamre aur dālān
aa.iiñ mamānī-jān hamārī aa.iiñ mamānī-jān
aa.iiñ mamānī-jān
gaañv kā mukhiyā shahr kā bhishtī jañgal kā lañgūr
london kā añgrez bahādur bhārat kā mazdūr
miTTī ke ye seb sharīfe kāġhaz ke añgūr
pā kar ye rañgīn khilaune kyuuñ na ho ḳhush 'irfān'
aa.iiñ mamānī-jān hamārī aa.iiñ mamānī-jān
aa.iiñ mamānī-jān
nanha thormas nannhi gas aur nanha nashte dan
chhoTe chhoTe babwe aur ye un ke bhai-jaan
chini ke darogha ji aur dafti ke darban
lai hain apne sath hamare waste ye saman
aain mamani-jaan hamari aain mamani-jaan
aain mamani-jaan
Tin ka ullu mom ka bauna lakDi ki banduq
kapDe ke ek jakkaD-KHan aur shishe ka beruq
pital ke kuchh saras bagule jadu ka sanduq
khel khilaunon se hain saje sab kamre aur dalan
aain mamani-jaan hamari aain mamani-jaan
aain mamani-jaan
ganw ka mukhiya shahr ka bhishti jangal ka langur
london ka angrez bahadur bhaarat ka mazdur
miTTi ke ye seb sharife kaghaz ke angur
pa kar ye rangin khilaune kyun na ho KHush 'irfan'
aain mamani-jaan hamari aain mamani-jaan
aain mamani-jaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.