KHizan ke aate aate
mere paas
bahut saare ḳhvāb
aur bahut saare seb haiñ
ek afrūdetī ke liye
ek saifū ke liye
aur ek apnā kozī ko davā ke liye
jis ne ā.īne ke sāmne
apnī chhātiyoñ kā
tennis kī geñd
yā dhartī se
muvāzana nahīñ kiyā hogā
mere tamām ḳhvāb
un ke liye
jin ke āñsuoñ se merī nazmeñ banīñ
merī mahbūba ke liye
mere paas na koī ḳhvāb hai
aur na seb
ḳhizāñ ke aate aate
maiñ us daraḳht ke saa.e se
uTh kar chalā jā.ūñgā
jahāñ ḳhvāb aur seb
ugte haiñ
mere pas
bahut sare KHwab
aur bahut sare seb hain
ek afrudeti ke liye
ek saifu ke liye
aur ek apna kozi ko dawa ke liye
jis ne aaine ke samne
apni chhatiyon ka
tennis ki gend
ya dharti se
muwazana nahin kiya hoga
mere tamam KHwab
un ke liye
jin ke aansuon se meri nazmen banin
meri mahbuba ke liye
mere pas na koi KHwab hai
aur na seb
KHizan ke aate aate
main us daraKHt ke sae se
uTh kar chala jaunga
jahan KHwab aur seb
ugte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.