KHizan mausam nahin hai
ḳhizāñ mausam nahīñ hai
ek lamha hai ki jis kī aarzū meñ
sabz patte
havā kī āhaToñ par kaan dharte haiñ
guzarte vaqt meñ sā.at-ba-sā.at
na.e pairāhanoñ meñ
gulābī aur gahre surḳh unnābī
dahakte ḳhushnumā rañgoñ se le kar zard hone tak
kabhī dhīme kabhī ūñche suroñ meñ baat kartī
ḳhushbuoñ meñ bas-basā kar
havā ke saath mahv-e-raqs honā chāhte haiñ
zamīñ kā rizq ban jaane se pahle
vahī ik ajnabī vāraftagī aur raqs kā lamha
kahīñ par daur-e-ā.inda ke mausam kī samā.at meñ
kisī so.e hue ik biij meñ
ḳhvāhish numū kī sar uThātī hai
bahut hī pyaar se har shāḳh ke patte se kahtī hai
ki ab rizq-e-zamīñ ban kar
kisī ik narm koñpal kī numū kā aasrā ban jā
ḳhizāñ mausam nahīñ hai
ik masarrat-ḳhez taḳhlīq-e-amal kā aasrā hai
KHizan mausam nahin hai
ek lamha hai ki jis ki aarzu mein
sabz patte
hawa ki aahaTon par kan dharte hain
guzarte waqt mein saat-ba-saat
nae pairahanon mein
gulabi aur gahre surKH unnabi
dahakte KHushnuma rangon se le kar zard hone tak
kabhi dhime kabhi unche suron mein baat karti
KHushbuon mein bas-basa kar
hawa ke sath mahw-e-raqs hona chahte hain
zamin ka rizq ban jaane se pahle
wahi ek ajnabi waraftagi aur raqs ka lamha
kahin par daur-e-ainda ke mausam ki samaat mein
kisi soe hue ek bij mein
KHwahish numu ki sar uThati hai
bahut hi pyar se har shaKH ke patte se kahti hai
ki ab rizq-e-zamin ban kar
kisi ek narm konpal ki numu ka aasra ban ja
KHizan mausam nahin hai
ek masarrat-KHez taKHliq-e-amal ka aasra hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 433)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.