khokhle bartan ke honT
khokhle bartan ke hoñT
sadā ke khokhle but par
vo apnī uñgliyāñ ghiste raheñge
andhere narḳhare se
bas havā kī raft o aamad kā nishāñ
mālūm hotā hai
zabāñ par sabz dhabbe paḌte jā.eñge
chamakte sabz dhabboñ meñ ThiThurte ā.īne niilī duāoñ ke
koī ye un se kah do
ki āvāzeñ khaḌakne ke sivā yā
dhaḌdhaḌāne shor uThne ke sivā
taaza nahīñ hotīñ
sadā kā devtā
apne parinde le ke vāpas jā chukā hai
khokhle bartan ke honT
sada ke khokhle but par
wo apni ungliyan ghiste rahenge
andhere narKHare se
bas hawa ki raft o aamad ka nishan
malum hota hai
zaban par sabz dhabbe paDte jaenge
chamakte sabz dhabbon mein ThiThurte aaine nili duaon ke
koi ye un se kah do
ki aawazen khaDakne ke siwa ya
dhaDdhaDane shor uThne ke siwa
taza nahin hotin
sada ka dewta
apne parinde le ke wapas ja chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.