KHud-farebi
shab ek saath guzārne vaale
din ikaTThe nahīñ guzār sakte
ki añdherā tanhā.ī kī aañkh par
uñglī rakh detā hai
aur vaslatī hijr kā saarā dukh pī jaatā hai
saverā bahut boltā hai
saare raaz kholtā hai
raat kāTnā mushkil
din us se sivā mushkil
raushnī aap ko ek saath dikhāne kā
fareb detī hai
aur shāyad kāmyāb ho jaatī hai
maiñ ne ḳhud ko
tamām umr dhoke kī saan par rakkhā
zindagī ek tanī huī rassī hai
jis par chalte hue har shai
khaa.ī mālūm hotī
yahāñ tak ki niilā āsmān bhī
aur aañsū jaise zamīñ par bikhre sitāre
nasheb se farāz tak kā safar
qadmoñ se nahīñ jazboñ se
tai hotā hai
lekin ek ma.azūr shaḳhs kyā
jaane
ki rang se ḳhushbū kā
haath chhūT jaa.e to
safar tavīl ho jaatā hai
phir na jazbe kaam aate haiñ
na hī qadam
shab ek sath guzarne wale
din ikaTThe nahin guzar sakte
ki andhera tanhai ki aankh par
ungli rakh deta hai
aur waslati hijr ka sara dukh pi jata hai
sawera bahut bolta hai
sare raaz kholta hai
raat kaTna mushkil
din us se siwa mushkil
raushni aap ko ek sath dikhane ka
fareb deti hai
aur shayad kaamyab ho jati hai
main ne KHud ko
tamam umr dhoke ki san par rakkha
zindagi ek tani hui rassi hai
jis par chalte hue har shai
khai malum hoti
yahan tak ki nila aasman bhi
aur aansu jaise zamin par bikhre sitare
nasheb se faraaz tak ka safar
qadmon se nahin jazbon se
tai hota hai
lekin ek mazur shaKHs kya
jaane
ki rang se KHushbu ka
hath chhuT jae to
safar tawil ho jata hai
phir na jazbe kaam aate hain
na hi qadam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.