Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud-kushi aur qatl

Muhammad Raza Hyderi

KHud-kushi aur qatl

Muhammad Raza Hyderi

MORE BYMuhammad Raza Hyderi

    vo apne hāthoñ ko dekhtī hai

    hinā rangat pe sochtī hai

    vo sochtī hai ye mere hāthoñ pe jo lagī hai

    hinā nahīñ hai

    mire azīzoñ ne mere ḳhvāboñ qatl kar ke

    jo ḳhuuñ bahāyā

    vo ḳhuun bah kar mirī hathelī pe aa gayā hai

    mirī tamanna ḳhuun jis ne hinā rangat bikher hai

    ye nāch-gāne jo sadā.eñ maiñ sun rahī huuñ

    ye naach kyā hai ye giit kyā hai

    ye mere ḳhvāboñ marsiya hai

    ye mātamī haiñ jo giit gaate haiñ nāchte haiñ

    ye surḳh joḌā mire badan par

    libās kab hai

    ye merī ḳhvāhish hai jo kafan meñ paḌī huī hai

    vo sab barātī yahāñ pahuñch kar

    uThā ke ḳhvāhish ye janāza

    nikal paḌeñge

    vo sochtī hai

    abhī to mujh ko qubūl karnā hai jurm apnā

    vo jab kaheñge ye qatl hai ye ḳhud-kushī hai

    mujhe batānā hai ḳhud-kushī hai

    baġhair soche qubūl kahnā paḌegā mujh ko

    ye qatl kab hai ye ḳhud-kushī hai

    vo apne hāthoñ ko dekhtī hai

    vo sochtī hai

    wo apne hathon ko dekhti hai

    hina ki rangat pe sochti hai

    wo sochti hai ye mere hathon pe jo lagi hai

    hina nahin hai

    mere azizon ne mere KHwabon ka qatl kar ke

    jo KHun bahaya

    wo KHun bah kar meri hatheli pe aa gaya hai

    meri tamanna ka KHun jis ne hina si rangat bikher di hai

    ye nach-gane ki jo sadaen main sun rahi hun

    ye nach kya hai ye git kya hai

    ye mere KHwabon ka marsiya hai

    ye matami hain jo git gate hain nachte hain

    ye surKH joDa mere badan par

    libas kab hai

    ye meri KHwahish hai jo kafan mein paDi hui hai

    wo sab baraati yahan pahunch kar

    uTha ke KHwahish ka ye janaza

    nikal paDenge

    wo sochti hai

    abhi to mujh ko qubul karna hai jurm apna

    wo jab kahenge ye qatl hai ya ye KHud-kushi hai

    mujhe batana hai KHud-kushi hai

    baghair soche qubul kahna paDega mujh ko

    ye qatl kab hai ye KHud-kushi hai

    wo apne hathon ko dekhti hai

    wo sochti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now