KHud-kushi ke pul par
ḳhud-kushī ke pul par
samundar kī lahroñ meñ bahtī
fasurda o nākām
jismoñ kī rūheñ
bulātī haiñ mujh ko
chale aao har ġham se dāman chhuḌā lo
miTā do
fanā hone vaale badan ko miTā do
fanā se na Darnā
yahī asl meñ zindagī hai
isī meñ haqīqī ḳhushī hai
samundar kī lahroñ meñ
sayyāl rūhoñ ke
gītoñ meñ behad kashish hai
ye dil chāhtā hai
ki maiñ jā milūñ un se
un sā hī ho jā.ūñ
par maiñ unheñ kis tarah ye batā.ūñ
ki ai iztirāb-e-musalsal ke girdāb meñ qaid ruuho
mujhe tum se hamdardī hai
pyaar hai
maiñ ḳhud chāhtā huuñ
man o tū kī saarī fasīleñ phalāgūñ
magar kyā karūñ
kuchh muqaddas se rishte
duā-go sī āñhkeñ
mujhe yaad aatī haiñ
chup-chāp ghar lauT aatā huuñ maiñ
un hasīñ pyāre logoñ kī ḳhātir to
jiinā paḌegā
ye zahrāb piinā paḌegā
KHud-kushi ke pul par
samundar ki lahron mein bahti
fasurda o nakaam
jismon ki ruhen
bulati hain mujh ko
chale aao har gham se daman chhuDa lo
miTa do
fana hone wale badan ko miTa do
fana se na Darna
yahi asl mein zindagi hai
isi mein haqiqi KHushi hai
samundar ki lahron mein
sayyal ruhon ke
giton mein behad kashish hai
ye dil chahta hai
ki main ja milun un se
un sa hi ho jaun
par main unhen kis tarah ye bataun
ki ai iztirab-e-musalsal ke girdab mein qaid ruho
mujhe tum se hamdardi hai
pyar hai
main KHud chahta hun
man o tu ki sari fasilen phalagun
magar kya karun
kuchh muqaddas se rishte
dua-go si aanhken
mujhe yaad aati hain
chup-chap ghar lauT aata hun main
un hasin pyare logon ki KHatir to
jina paDega
ye zahrab pina paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.