KHud-kushi
kisī se mashvara karnā zarā ḳhud se nikal bāhar
kabhī ḳhā.if agar ho zindagī ke pech-o-ḳham se tum
palaT kar DhūñDhnā tasvīr meñ koī hasīñ manzar
lage jab ghaT rahe ho ġham se yā shahr-e-adam se tum
purānī ādateñ hoñ yā purāne ḳhvāb hoñ dil ke
nahīñ āsān hotā hai bhulānā un ko ai hamdam
asīr-e-ḳhvāb par honā nahīñ hai dhyān ye rakhnā
hamāre hone se haiñ ḳhvāb ye in se nahīñ haiñ ham
tavānā.ī irādoñ meñ jigar meñ hausla rakkho
kisī bhī baat par yuuñ TuuT kar girnā nahīñ achchhā
ka.ī haqdār haiñ is ziist ke itnā samajh lo tum
ki karnā be-hisī haq chhīn ke marnā nahīñ achchhā
kisi se mashwara karna zara KHud se nikal bahar
kabhi KHaif agar ho zindagi ke pech-o-KHam se tum
palaT kar DhunDhna taswir mein koi hasin manzar
lage jab ghaT rahe ho gham se ya shahr-e-adam se tum
purani aadaten hon ya purane KHwab hon dil ke
nahin aasan hota hai bhulana un ko ai hamdam
asir-e-KHwab par hona nahin hai dhyan ye rakhna
hamare hone se hain KHwab ye in se nahin hain hum
tawanai iradon mein jigar mein hausla rakkho
kisi bhi baat par yun TuT kar girna nahin achchha
kai haqdar hain is zist ke itna samajh lo tum
ki karna be-hisi haq chhin ke marna nahin achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.