KHud-kushi
vo raat gahrī
us par TūTte jismoñ kā bojh
jhoñpaḌoñ meñ ūñghte nange charāġhoñ kī bhaḌak
karb kā elaan taaza
yak-ba-yak
masjidoñ meñ jal uThī na.aroñ kī bosīda zabāñ
thartharā kar gir paḌe sajdoñ meñ log
goliyoñ kī taḌtaḌāhaT
ḳhuun mash.al zulm maut
ḳhanjaroñ ke paañv se rauñdī huī doshīzgī
kuchh nahīñ kuchh bhī nahīñ hai
ḳhauf se larzāñ sharāfat ḳhud-kushī kā naam hai
bandagī puujā ibādat is liye badnām hai
sab gañvā kar gaañv vaale giḌgiḌāte rah ga.e
gaañv kī sab beTiyāñ Daaku uThā kar le ga.e
pāsbāñ ḳhāmosh haiñ ahl-e-siyāsat bhī ḳhamosh
rishvatoñ par bikne vaalī har adālat bhī ḳhamosh
wo raat gahri
us par TuTte jismon ka bojh
jhonpaDon mein unghte nange charaghon ki bhaDak
karb ka elan taza
yak-ba-yak
masjidon mein jal uThi naron ki bosida zaban
tharthara kar gir paDe sajdon mein log
goliyon ki taDtaDahaT
KHun mashal zulm maut
KHanjaron ke panw se raundi hui doshizgi
kuchh nahin kuchh bhi nahin hai
KHauf se larzan sharafat KHud-kushi ka nam hai
bandagi puja ibaadat is liye badnam hai
sab ganwa kar ganw wale giDgiDate rah gae
ganw ki sab beTiyan Daku uTha kar le gae
pasban KHamosh hain ahl-e-siyasat bhi KHamosh
rishwaton par bikne wali har adalat bhi KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.