sūraj har roz
merī āñkhoñ meñ bharī huī
aur shāyad marī huī niiñd ko dekh kar
apne din kā āġhāz kartā hai
maiñ
ghar se daftar jaatī huī saḌak par
reñgtā huā
aane vaalī nasloñ par ehsān kartā huuñ
maiñ daftar apnī marzī se jaatā huuñ
lekin daftar meñ merī marzī kā kaam nahīñ hotā
maiñ kāġhaz par ḳhvāb aur dukh ek saath likh kar
ghar lauTtā huuñ
ghar kī be-tartībī aur ūñghtī huī dīvāreñ
merā istiqbāl kartī haiñ
maiñ bistar par sone ke liye lauTtā huuñ
aur jāgtā rahtā huuñ
vo
Diary meñ ḳhud-sāḳhta dukh likhtī hai
aur sukūn se so jaatī hai
suraj har roz
meri aankhon mein bhari hui
aur shayad mari hui nind ko dekh kar
apne din ka aaghaz karta hai
main
ghar se daftar jati hui saDak par
rengta hua
aane wali naslon par ehsan karta hun
main daftar apni marzi se jata hun
lekin daftar mein meri marzi ka kaam nahin hota
main kaghaz par KHwab aur dukh ek sath likh kar
ghar lauTta hun
ghar ki be-tartibi aur unghti hui diwaren
mera istiqbaal karti hain
main bistar par sone ke liye lauTta hun
aur jagta rahta hun
wo
Diary mein KHud-saKHta dukh likhti hai
aur sukun se so jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.