KHuda apni maujudgi ki KHabar de raha hai
zamīñ ko ġharaz hī nahīñ hai
yaqīñ manziloñ ke ta'āqub meñ jaane kahāñ
kis taraf jā basā hai
nahīñ us pahāḌī ke pīchhe koī bhī nahīñ hai
makīñ ab makānoñ se bāhar nikal kar use DhūñDte haiñ
jo shāyad nahīñ hai
ḳhushī ġham se duurī ke nuqsān meñ din gine jā rahī hai
kamī apne hone pe nauha-kunāñ hai
kisī ko kisī kī ḳhabar hī nahīñ hai
ḳhudā kī banā.ī ga.ī is zamīñ par
koī kyā kisī ko batā.e ki maiñ huuñ yahāñ
ḳhudā apnī maujūdgī kī ḳhabar de rahā hai
zamin ko gharaz hi nahin hai
yaqin manzilon ke ta'aqub mein jaane kahan
kis taraf ja basa hai
nahin us pahaDi ke pichhe koi bhi nahin hai
makin ab makanon se bahar nikal kar use DhunDte hain
jo shayad nahin hai
KHushi gham se duri ke nuqsan mein din gine ja rahi hai
kami apne hone pe nauha-kunan hai
kisi ko kisi ki KHabar hi nahin hai
KHuda ki banai gai is zamin par
koi kya kisi ko batae ki main hun yahan
KHuda apni maujudgi ki KHabar de raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.