KHuda
jo banā de hazrat-e-ādam ko murda ḳhaak se
kar de jo ārāsta be-jāñ ko rūh-e-pāk se
nuuh kī kashtī ko tūfānoñ se bhī jo le bachā
bahr meñ jo hazrat-e-mūsā ko de de rāsta
ho kueñ kī tah se taḳht-o-tāj tak yūsuf ke saath
peT meñ machhlī ke yūnus ko rakhe jo bā-hayāt
narm jo lohe ko kar de haath meñ dā.ūd ke
ibn-e-mariyam ko bachā le jo salīb-o-dār se
mustarad kar de jo ahl-e-haq pe har yalġhār ko
nuur kar de jism-e-ibrāhīm par jo naar ko
jo sikhā de mānñā farmān har maḳhlūq ko
jo sulaimāñ par kare āsān har maḳhlūq ko
zālimoñ ko rok de jo pal meñ un kī Toh se
nāqa-e-sāleh kare paidā jo batn-e-koh se
amn kā sunvā de jo muzhda rasūlullāh se
jo chaman sahrā ko de banvā rasūlullāh se
vaqt jo maġhrib kā Thahrā de rasūlullāh se
chāñd do TukḌe jo karvā de rasūlullāh se
jis ḳhudā-e-pāk kī qudrat ke hoñ ye sab nishāñ
hamd jis kī kar rahī hoñ machhliyāñ aur chyūñTiyāñ
jis kī 'azmat kī gavāhī roz deñ shām-o-sahar
kar rahe hoñ chāñd sūraj hukm se jis ke safar
har zabāñ-āvar jahāñ thak jaa.e jis ke zikr se
jis kī satvat kā bayāñ bāhar ho sab kī fikr se
mashvara tum sab ko itnā de ke ab maiñ bhī yahāñ
ḳhatm karnā chāhtā huuñ ḳhud pe hī apnā bayāñ
vasvasoñ ke tum maraz meñ mubtalā honā nahīñ
us ḳhudā se kuchh bhī ho be-āsrā honā nahīñ
jo bana de hazrat-e-adam ko murda KHak se
kar de jo aarasta be-jaan ko ruh-e-pak se
nuh ki kashti ko tufanon se bhi jo le bacha
bahr mein jo hazrat-e-musa ko de de rasta
ho kuen ki tah se taKHt-o-taj tak yusuf ke sath
peT mein machhli ke yunus ko rakhe jo ba-hayat
narm jo lohe ko kar de hath mein daud ke
ibn-e-mariyam ko bacha le jo salib-o-dar se
mustarad kar de jo ahl-e-haq pe har yalghaar ko
nur kar de jism-e-ibrahim par jo nar ko
jo sikha de manna farman har maKHluq ko
jo sulaiman par kare aasan har maKHluq ko
zalimon ko rok de jo pal mein un ki Toh se
naqa-e-saleh kare paida jo batn-e-koh se
amn ka sunwa de jo muzhda rasulullah se
jo chaman sahra ko de banwa rasulullah se
waqt jo maghrib ka Thahra de rasulullah se
chand do TukDe jo karwa de rasulullah se
jis KHuda-e-pak ki qudrat ke hon ye sab nishan
hamd jis ki kar rahi hon machhliyan aur chyunTiyan
jis ki 'azmat ki gawahi roz den sham-o-sahar
kar rahe hon chand suraj hukm se jis ke safar
har zaban-awar jahan thak jae jis ke zikr se
jis ki satwat ka bayan bahar ho sab ki fikr se
mashwara tum sab ko itna de ke ab main bhi yahan
KHatm karna chahta hun KHud pe hi apna bayan
waswason ke tum maraz mein mubtala hona nahin
us KHuda se kuchh bhi ho be-asra hona nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.