Khudawanda ye kaisa jabr hai
ḳhudāvandā ye kaisā jabr hai
maiñ ne tirī rassī ko pakḌā hī nahīñ lekin
mujhe rassī ne jakḌā hai
mujhe kahte haiñ tum āzād ho, apne liye chun lo
magar bahr-e-fanā ko jaane vaale mujh ko rukne hī nahīñ dete
maiñ ruknā chāhtā huuñ
us hasīñ ke aan milne tak ki jo raste meñ pīchhe rah ga.ī thī
bayābān-e-numū kī be-karāñ tārīkiyoñ meñ
an-ginat rūhoñ kī dhakkam-pel thī
tab bhī vahī jhūTī kahānī thī
ki tum āzād ho lekin
añdherā bhiiḌ aur vahshat meñ lambī ġhaar ke parle sire par
TimTimātī raushnī tak sab ko aanā thā
vo pīchhe rah ga.ii, maiñ jabr kī rassī meñ jakḌā ġhaar se bāhar nikal aayā
maiñ ruknā chāhtā huuñ us hasīñ ke aan milne tak
ki jo raste meñ pīchhe hai
maiñ us kā muntazir huuñ kitne barsoñ se
ḳhudāvand-e-fanā!
maiñ terī rassī ke ka.ī bal khol kar
umr-e-ravāñ ke zahr se bachtā rahā huuñ
phir bhī merā jism jo hastī ke jauhar kā libāda hai
purānā ho gayā hai
maiñ ruknā chāhtā huuñ us hasīñ ke aan milne tak
ki jab us kā labāda bhī purānā ho
to ham mil kar tire bahr-e-fanā ke is kināre par
purāne pairahan dho leñ
phir is ke ba.ad bhī terī yahī zid ho to le jānā!!
KHudawanda ye kaisa jabr hai
main ne teri rassi ko pakDa hi nahin lekin
mujhe rassi ne jakDa hai
mujhe kahte hain tum aazad ho, apne liye chun lo
magar bahr-e-fana ko jaane wale mujh ko rukne hi nahin dete
main rukna chahta hun
us hasin ke aan milne tak ki jo raste mein pichhe rah gai thi
bayaban-e-numu ki be-karan tarikiyon mein
an-ginat ruhon ki dhakkam-pel thi
tab bhi wahi jhuTi kahani thi
ki tum aazad ho lekin
andhera bhiD aur wahshat mein lambi ghaar ke parle sire par
TimTimati raushni tak sab ko aana tha
wo pichhe rah gai, main jabr ki rassi mein jakDa ghaar se bahar nikal aaya
main rukna chahta hun us hasin ke aan milne tak
ki jo raste mein pichhe hai
main us ka muntazir hun kitne barson se
KHudawand-e-fana!
main teri rassi ke kai bal khol kar
umr-e-rawan ke zahr se bachta raha hun
phir bhi mera jism jo hasti ke jauhar ka libaada hai
purana ho gaya hai
main rukna chahta hun us hasin ke aan milne tak
ki jab us ka labaada bhi purana ho
to hum mil kar tere bahr-e-fana ke is kinare par
purane pairahan dho len
phir is ke baad bhi teri yahi zid ho to le jaana!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.