khuli fazaon ka ahd-nama
lahū kī bārish
zamīn ke siine pe muddatoñ se baras rahī thī
lahū meñ Duube hue kabūtar fazā meñ arse se uḌ rahe the
fazā meñ jalte lahū kī ḳhushbū bikhar chukī thī
har ek gosha
har ek qarya
añdherī shab ke muhīb saa.e meñ ghir chukā thā
har ek insān mar chukā thā
lahū kī bārish thamī to dekhā ki ek insān
zamīñ ke logoñ se kah rahā hai
ki ḳhvāb-e-ġhaflat se jaag jaao
mohabbatoñ ke diye jalā kar har ek goshe ko jagmagāo
uTho ki tum hī añdherī shab ke muhīb sāyoñ kī chāñdnī ho
uTho ki tum hī sadāqatoñ ke mohabbatoñ ke payāmbar ho
tum ek ho kar uTho ki tum ko tumhārā dushman bhī jaan jaa.e
tum hī ho sūraj tum hī sitāre
tum hī samundar tum hī kināre
sab ek ho kar uThe to dekhā
gulāb-ḳhushbū fazā meñ har-sū mahak rahī thī
har ik kabūtar falak pe sūraj sā lag rahā thā
har ek goshe meñ raushnī ke hasīn jugnū chamak rahe the
ye din bhī kaisā ajiib din thā
mohabbatoñ kā
sadāqatoñ kā
ki us din ham se hamāre qaa.id ne ye kahā thā
ham ek ho kar ye ahd kar leñ
khulī fazāoñ meñ saañs leñge
vatan kī ḳhātir hī jaan deñge
lahu ki barish
zamin ke sine pe muddaton se baras rahi thi
lahu mein Dube hue kabutar faza mein arse se uD rahe the
faza mein jalte lahu ki KHushbu bikhar chuki thi
har ek gosha
har ek qarya
andheri shab ke muhib sae mein ghir chuka tha
har ek insan mar chuka tha
lahu ki barish thami to dekha ki ek insan
zamin ke logon se kah raha hai
ki KHwab-e-ghaflat se jag jao
mohabbaton ke diye jala kar har ek goshe ko jagmagao
uTho ki tum hi andheri shab ke muhib sayon ki chandni ho
uTho ki tum hi sadaqaton ke mohabbaton ke payambar ho
tum ek ho kar uTho ki tum ko tumhaara dushman bhi jaan jae
tum hi ho suraj tum hi sitare
tum hi samundar tum hi kinare
sab ek ho kar uThe to dekha
gulab-KHushbu faza mein har-su mahak rahi thi
har ek kabutar falak pe suraj sa lag raha tha
har ek goshe mein raushni ke hasin jugnu chamak rahe the
ye din bhi kaisa ajib din tha
mohabbaton ka
sadaqaton ka
ki us din hum se hamare qaid ne ye kaha tha
hum ek ho kar ye ahd kar len
khuli fazaon mein sans lenge
watan ki KHatir hi jaan denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.