KHushbu ka safar
ye ḳhushbū jise mahsūs karte hī
ehsās ke taar bajne lagte haiñ
fāsle aur dūriyāñ simaT jaatī haiñ
koī manzar koī chehra sāmne aa jaatā hai
in ḳhayāloñ kī masāfat meñ koī vaqt lagā nahīñ
aa jaatā hai koī kamra koī āñgan aur koī
fard be-jhijhak
na koī ḳhauf na Dar aur na vo ḳhūnī nazar
is ḳhushbū ke safar meñ
na sarhadeñ haiñ na dūriyāñ
na pābandiyāñ
yaañ sirf ehsās-o-jazbāt kī mamlikat hai
aur parvāz-e-ḳhayāl
ke sivā kuchh bhī nahīñ
aur kuchh bhī nahīñ
ye KHushbu jise mahsus karte hi
ehsas ke tar bajne lagte hain
fasle aur duriyan simaT jati hain
koi manzar koi chehra samne aa jata hai
in KHayalon ki masafat mein koi waqt laga nahin
aa jata hai koi kamra koi aangan aur koi
fard be-jhijhak
na koi KHauf na Dar aur na wo KHuni nazar
is KHushbu ke safar mein
na sarhaden hain na duriyan
na pabandiyan
yan sirf ehsas-o-jazbaat ki mamlikat hai
aur parwaz-e-KHayal
ke siwa kuchh bhi nahin
aur kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.