KHushbu
kisī ehsās ko bedār kartī dil-nashīñ ḳhushbū
kahīñ bārish kī būñdoñ se nikaltī ret kī ḳhushbū
mo'attar kartī yādoñ ko kisī
mānūs se ik 'itr kī ḳhushbū
kabhī dul.han ke hāthoñ se uThe rang-e-hinā ban kar bikharte ḳhvāb
kī ḳhushbū
kahīñ raushan mazāroñ par agarbattī se phūloñ se du'āoñ ke jazīre se juḌī ik zaat kī ḳhushbū
bahut nauha-kunāñ girya-kunāñ har dam mahaktī sī kisī kī qabr par phaile hue taaza gulāboñ kī bahut vīrān sī ḳhushbū
juḌī ik yaad se ḳhushbū
bahut nāyāb hotī hai
mo'attar ruuh ko kar de
purāne zaḳhm sab bhar de hasīñ lamhāt kī ḳhushbū
to phir ye bhī yaqīnī hai
'atā ehsās ko ye lams kā
bhī mo'jiza de kar bahut masrūr
rakhtī hai
kisi ehsas ko bedar karti dil-nashin KHushbu
kahin barish ki bundon se nikalti ret ki KHushbu
mo'attar karti yaadon ko kisi
manus se ek 'itr ki KHushbu
kabhi dulhan ke hathon se uThe rang-e-hina ban kar bikharte KHwab
ki KHushbu
kahin raushan mazaron par agarbatti se phulon se du'aon ke jazire se juDi ek zat ki KHushbu
bahut nauha-kunan girya-kunan har dam mahakti si kisi ki qabr par phaile hue taza gulabon ki bahut viran si KHushbu
juDi ek yaad se KHushbu
bahut nayab hoti hai
mo'attar ruh ko kar de
purane zaKHm sab bhar de hasin lamhat ki KHushbu
to phir ye bhi yaqini hai
'ata ehsas ko ye lams ka
bhi mo'jiza de kar bahut masrur
rakhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.