KHushi ka lamhati tassur
mere bachchoñ kī javānī hai javānī merī
phir na.ī ho ga.ī tasvīr purānī merī
mere āñgan meñ ka.ī chāñd sitāre utre
tere jalvoñ se huī shaam suhānī merī
tere lahje meñ hai andāz-e-takallum merā
terī guftār meñ rangīn-bayānī merī
tere ādāb-o-ḳhayālāt meñ āhang mirā
terī raftār meñ poshīda ravānī merī
terī sūrat meñ ka.ī aks ayaañ haiñ mere
nayā unvān badaltī hai kahānī merī
baa'd mere bhī nazar aa.egā paikar merā
DhūñD hī leñge koī log nishānī merī
mere bachchoñ pe rahe sāya-e-rahmat 'mumtāz'
hai duā ab ye hī ashkoñ kī zabānī merī
mere bachchon ki jawani hai jawani meri
phir nai ho gai taswir purani meri
mere aangan mein kai chand sitare utre
tere jalwon se hui sham suhani meri
tere lahje mein hai andaz-e-takallum mera
teri guftar mein rangin-bayani meri
tere aadab-o-KHayalat mein aahang mera
teri raftar mein poshida rawani meri
teri surat mein kai aks ayan hain mere
naya unwan badalti hai kahani meri
ba'd mere bhi nazar aaega paikar mera
DhunD hi lenge koi log nishani meri
mere bachchon pe rahe saya-e-rahmat 'mumtaz'
hai dua ab ye hi ashkon ki zabani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.