KHun ka ek hai rang
aao ham ye kar ke dikhā.eñ
is dhartī ko svarg banā.īñ
mil kar ham sab kareñ jatan
TuuT na paa.e kisī kā man
bachchoñ gaao jan gan man
piir payambar sādhū sant
giitā qur.āñ aur granth
mānavtā ke sab haiñ panth
mahkā in se ye jīvan
bachchoñ gaao jan gan man
sab ke ḳhuun kā ek hai rang
phir kyoñ aapas meñ hai jang
badleñ jiine kā ye Dhang
ham ko jaan se pyārā vatan
bachchoñ gaao jan gan man
koī ibādat-gāh na TuuTe
koī rahmat raam na rūThe
toḌ ke saare jhūTe bandhan
aao ujlā kar leñ man
bachchoñ gaao jan gan man
desh kī miTTī bole pyāre
sūraj chandā ban ke taare
jag se miTāo tum añdhiyāre
chamke phir se ghar āñgan
bachchoñ gaao jan gan man
pyaar mohabbat saty ahinsā
koh-e-himāla gañgā jamunā
is kā parcham hai ye tirañgā
chūmne aa.e jis ko gagan
bachchoñ gaao jan gan man
aao hum ye kar ke dikhaen
is dharti ko swarg banain
mil kar hum sab karen jatan
TuT na pae kisi ka man
bachchon gao jan gan man
pir payambar sadhu sant
gita quran aur granth
manawta ke sab hain panth
mahka in se ye jiwan
bachchon gao jan gan man
sab ke KHun ka ek hai rang
phir kyon aapas mein hai jang
badlen jine ka ye Dhang
hum ko jaan se pyara watan
bachchon gao jan gan man
koi ibaadat-gah na TuTe
koi rahmat ram na ruThe
toD ke sare jhuTe bandhan
aao ujla kar len man
bachchon gao jan gan man
desh ki miTTi bole pyare
suraj chanda ban ke tare
jag se miTao tum andhiyare
chamke phir se ghar aangan
bachchon gao jan gan man
pyar mohabbat saty ahinsa
koh-e-himala ganga jamuna
is ka parcham hai ye tiranga
chumne aae jis ko gagan
bachchon gao jan gan man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.