KHwab aasar
abhī to tum se apnī guftugū ke taar baaqī haiñ
abhī aadhī hai shab aur ḳhvāb ke āsār baaqī haiñ
abhī manzil talab ke rāstoñ meñ khoī khoī hai
abhī ik kahkashāñ hai baam par jo soī soī hai
murādoñ aur umañgoñ ke ka.ī kohsār baaqī haiñ
abhī aadhī hai shab aur ḳhvāb ke āsār baaqī haiñ
hamāre aur tumhāre rāstoñ meñ ek aahaT hai
zarā tham kar suno guzre dinoñ kī gungunāhaT hai
khanak jaatī hai pyālī chaa.e kī jab dil dhaḌakte haiñ
abhī jazboñ kī sachchī aab kā iz.hār baaqī hai
abhī aadhī hai shab aur ḳhvāb ke āsār baaqī haiñ
mukammal ho gayā hai ek qissa ek baaqī hai
safar aadhā kaTā hai aur aadhā ab bhī baaqī hai
abhī kun kī sadā.eñ aa rahī haiñ vajd baaqī hai
mohabbat ke anokhe raaz kī takmīl baaqī hai
hai qissa muḳhtasar ki ziist ke asrār baaqī haiñ
abhī aadhī hai shab aur ḳhvāb ke āsār baaqī haiñ
abhi to tum se apni guftugu ke tar baqi hain
abhi aadhi hai shab aur KHwab ke aasar baqi hain
abhi manzil talab ke raston mein khoi khoi hai
abhi ek kahkashan hai baam par jo soi soi hai
muradon aur umangon ke kai kohsar baqi hain
abhi aadhi hai shab aur KHwab ke aasar baqi hain
hamare aur tumhaare raston mein ek aahaT hai
zara tham kar suno guzre dinon ki gungunahaT hai
khanak jati hai pyali chae ki jab dil dhaDakte hain
abhi jazbon ki sachchi aab ka izhaar baqi hai
abhi aadhi hai shab aur KHwab ke aasar baqi hain
mukammal ho gaya hai ek qissa ek baqi hai
safar aadha kaTa hai aur aadha ab bhi baqi hai
abhi kun ki sadaen aa rahi hain wajd baqi hai
mohabbat ke anokhe raaz ki takmil baqi hai
hai qissa muKHtasar ki zist ke asrar baqi hain
abhi aadhi hai shab aur KHwab ke aasar baqi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.