tire gulāb se hoñToñ kī tāzgī kī qasam
bahār kī koī aahaT sunā.ī detī hai
nazar kī jhiil meñ mujh ko utārne vaale
hayāt aur bhī rañgīñ dikhā.ī detī hai
abhī abhī ye hasīñ ḳhvāb maiñ ne dekhā hai
agarche tum mire itne qarīb aa.ī ho
ki tum ko chhū luuñ to shāyad hī chhū sakūñ yā phir
nazar jo tum se milā.ūñ yaqīñ na thā is kā
javāñ hai raat hasīñ chāñdnī hasīñ taare
falak pe duur kahīñ kahkashāñ sī bikhrī hai
surūr-o-kaif meñ Duubī huī hai bād-e-sabā
hayāt bhī to simaT kar hai phailī phailī sī
fazā.eñ pyaar kī ḳhushbū se sab mo.attar haiñ
mohabbatoñ ke qadam āsmāñ se uupar haiñ
uThī nigāh to ye arsh se pare dekhā
ḳhalā meñ ambarīñ ḳhushbū ke ḳhushnumā bādal
bane haiñ ek sarāpā hasīn paikar kā
utar rahe haiñ zamīñ par tirā vajūd liye
samā rahe haiñ mire jism-o-jāñ ke yuuñ andar
mirā vajūd bhī terā vajūd ho jaise
uḌā rahe haiñ hameñ apne dosh par le kar
zamīñ se duur kahīñ āsmāñ kī choTī par
khulī jo aañkh to ye ḳhvāb-e-dilbarī TuuTā
tumhārā saath usī moḌ par kahīñ chhūTā
batāo kyā hai mire ḳhvāb kī hasīñ ta.abīr
tumhī batāo mire ḳhvāb kī hasīñ ta.abīr
tere gulab se honTon ki tazgi ki qasam
bahaar ki koi aahaT sunai deti hai
nazar ki jhil mein mujh ko utarne wale
hayat aur bhi rangin dikhai deti hai
abhi abhi ye hasin KHwab main ne dekha hai
agarche tum mere itne qarib aai ho
ki tum ko chhu lun to shayad hi chhu sakun ya phir
nazar jo tum se milaun yaqin na tha is ka
jawan hai raat hasin chandni hasin tare
falak pe dur kahin kahkashan si bikhri hai
surur-o-kaif mein Dubi hui hai baad-e-saba
hayat bhi to simaT kar hai phaili phaili si
fazaen pyar ki KHushbu se sab moattar hain
mohabbaton ke qadam aasman se upar hain
uThi nigah to ye arsh se pare dekha
KHala mein ambarin KHushbu ke KHushnuma baadal
bane hain ek sarapa hasin paikar ka
utar rahe hain zamin par tera wajud liye
sama rahe hain mere jism-o-jaan ke yun andar
mera wajud bhi tera wajud ho jaise
uDa rahe hain hamein apne dosh par le kar
zamin se dur kahin aasman ki choTi par
khuli jo aankh to ye KHwab-e-dilbari TuTa
tumhaara sath usi moD par kahin chhuTa
batao kya hai mere KHwab ki hasin tabir
tumhi batao mere KHwab ki hasin tabir
- Book : Shahar Ki Faseelon Se (Pg. 101)
- Author : Noor Muneeri
- Publication : Khan Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.