KHwab-e-jamhur
ḳhayāl aatā hai jamhūriyat ke ḳhvāboñ kā
sunahrī ḳhvāb
jo nīñdoñ ko tāzgī baḳhsheñ
yaqīñ ke nuur se ta.abīr jin kī mil jaa.e
ki aadhī raat ko koī na uTh ke ghabrā.e
khulī saḌak pe ye ādam-gazīda log na hoñ
kisī bhī samt se ubhre na tīrgī koī
hayāt-o-maut meñ paiham na kashmakash ho koī
ḳhayāl aatā hai
bichhā.eñ duur talak ziist ke ujāloñ ko
hañsī ke phuul khilā.eñ
ki zindagī kī nazākat ho titliyoñ meñ jahāñ
jinheñ pakaḌne ye bachche bhī dauḌte hoñge
chaman chaman meñ bahāroñ meñ gul-'izāroñ meñ
bichhā.e koī na bārūd sabza-zāroñ meñ
ki saarī titliyāñ hijrat hī kar na jaa.eñ kahīñ
bajā.e un ke
ye dahshat na phailne paa.e
hañsī jhulasne na paa.e na raushnī jaa.e
ḳhayāl aatā hai
miThās duudh kī hoñToñ ke narm goshoñ meñ
ḳhushī khilā.e ḳhudā.ī bhī maañ ke āñchal meñ
hañsī kalī meñ ho to guftugū ho phūloñ meñ
bhaTak na jaa.eñ ye sāñseñ baqā kī rāhoñ meñ
yahāñ na maut kā saayā ho sā.ebānoñ meñ
har ek ghar meñ sukūñ ho sukūn-e-paiham ho
makīn ḳhush hoñ makānoñ meñ phuul āñgan meñ
ki ziist paane meñ dil ko ḳhushī mayassar ho
ḳhayāl aatā hai
panāh sab ko milegī hisār-e-shahr meñ ab
galī galī meñ mohabbat kī boliyāñ hoñgī
har ek moḌ pe chāhat ke morche hoñge
miThās shahd kī hogī har ek sohbat meñ
ḳhayāl aatā hai
ye shahr merā kabhī shahr-e-dostāñ hotā
yaqīñ ke naam se uThte
sahar jo hotī sahar
har ek saañs meñ
naġhmoñ kā hī gumāñ hotā
ġhurūb hote hī din kī bhī ik duā hogī
ḳhudā kare ki mire shahr ke ḳhudāoñ ko
salāmatī kā koī ism yaad aa jaa.e
KHayal aata hai jamhuriyat ke KHwabon ka
sunahri KHwab
jo nindon ko tazgi baKHshen
yaqin ke nur se tabir jin ki mil jae
ki aadhi raat ko koi na uTh ke ghabrae
khuli saDak pe ye aadam-gazida log na hon
kisi bhi samt se ubhre na tirgi koi
hayat-o-maut mein paiham na kashmakash ho koi
KHayal aata hai
bichhaen dur talak zist ke ujalon ko
hansi ke phul khilaen
ki zindagi ki nazakat ho titliyon mein jahan
jinhen pakaDne ye bachche bhi dauDte honge
chaman chaman mein bahaaron mein gul-'izaron mein
bichhae koi na barud sabza-zaron mein
ki sari titliyan hijrat hi kar na jaen kahin
bajae un ke
ye dahshat na phailne pae
hansi jhulasne na pae na raushni jae
KHayal aata hai
miThas dudh ki honTon ke narm goshon mein
KHushi khilae KHudai bhi man ke aanchal mein
hansi kali mein ho to guftugu ho phulon mein
bhaTak na jaen ye sansen baqa ki rahon mein
yahan na maut ka saya ho saebanon mein
har ek ghar mein sukun ho sukun-e-paiham ho
makin KHush hon makanon mein phul aangan mein
ki zist pane mein dil ko KHushi mayassar ho
KHayal aata hai
panah sab ko milegi hisar-e-shahr mein ab
gali gali mein mohabbat ki boliyan hongi
har ek moD pe chahat ke morche honge
miThas shahd ki hogi har ek sohbat mein
KHayal aata hai
ye shahr mera kabhi shahr-e-dostan hota
yaqin ke nam se uThte
sahar jo hoti sahar
har ek sans mein
naghmon ka hi guman hota
ghurub hote hi din ki bhi ek dua hogi
KHuda kare ki mere shahr ke KHudaon ko
salamati ka koi ism yaad aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.