qāfiloñ se kaho rahbaroñ se kaho
rāstoñ se kaho
manziloñ se kaho
sāhiloñ se
fazāoñ se
sab se kaho
aur
guzre to bād-e-sabā se kaho
maiñ nahīñ ā.uñgā
maiñ nahīñ ā.uñgā
fikr-o-ehsās kī vādiyoñ meñ
kabhī
bhuul kar
un ke saa.e tale
ThanDī ThanDī ghanī chhāñv meñ baiTh kar
koī mujh ko na āvāz de
merā koī nahīñ
koī bhī to nahīñ
ziist kā ziist par
ḳhud maiñ ik bojh huuñ
mujh ko
āvāz mat de mire ham-nafas
maiñ haqīqat meñ kuchh bhī nahīñ
ek
harf-e-ġhalat
lauh-e-dil par huuñ maiñ
jald miT jā.ūñgā
ḳhvāb huuñ
ik pareshān sā ḳhvāb huuñ
ḳhvāb kī tarah
koī lamhe meñ TuuT jā.ūñgā bikhar jā.ūñgā
mujh ko āvāz na de mire ham-nafas
qafilon se kaho rahbaron se kaho
raston se kaho
manzilon se kaho
sahilon se
fazaon se
sab se kaho
aur
guzre to baad-e-saba se kaho
main nahin aaunga
main nahin aaunga
fikr-o-ehsas ki wadiyon mein
kabhi
bhul kar
un ke sae tale
ThanDi ThanDi ghani chhanw mein baiTh kar
koi mujh ko na aawaz de
mera koi nahin
koi bhi to nahin
zist ka zist par
KHud main ek bojh hun
mujh ko
aawaz mat de mere ham-nafas
main haqiqat mein kuchh bhi nahin
ek
harf-e-ghalat
lauh-e-dil par hun main
jald miT jaunga
KHwab hun
ek pareshan sa KHwab hun
KHwab ki tarah
koi lamhe mein TuT jaunga bikhar jaunga
mujh ko aawaz na de mere ham-nafas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.