KHwab ek jazira hai
jis ke chāroñ-samt ab tak
pāniyoñ kā relā hai
aisā sard paanī ki
jis meñ koī utre to
ruuh sard paḌ jaa.e
kaañp jaa.e saarā tan
kaun ye samajhtā hai
ḳhvāb kitne ziddī haiñ
gol gol lahroñ meñ
Duub kar ubharne kā
hausla sameTe ye
aise kuud paḌte haiñ
jaise koī muddat se
pyaas meñ taḌaptā ho
aur sāmne us ke
sirf ek kuuza ho
jis meñ chand qatre hoñ
sun lo aañkh kā qissa
qarz apne ḳhvāboñ kā kis tarah chukātī hai
mauj ke thapeḌoñ se reza reza hotī hai
lamha lamha jaltī hai TuuT kar barastī hai
surḳh surḳh Doroñ meñ sab thakan sameTe ye
ḳhvāb kab samajhte haiñ aañkh kī taḌap kyā hai
kitne dard palkoñ par yuuñ uThā.e phirtī hai
gahre is samundar meñ kaise kaise tūfāñ haiñ
toḌte haiñ kyā kyā kuchh shor kaise karte haiñ
ḳhvāb ek jazīra hai vo kahāñ samajhtā hai
us kī ek ḳhvāhish par aañkh kitnā rotī hai
aañkh kitnā rotī hai
jis ke chaaron-samt ab tak
paniyon ka rela hai
aisa sard pani ki
jis mein koi utre to
ruh sard paD jae
kanp jae sara tan
kaun ye samajhta hai
KHwab kitne ziddi hain
gol gol lahron mein
Dub kar ubharne ka
hausla sameTe ye
aise kud paDte hain
jaise koi muddat se
pyas mein taDapta ho
aur samne us ke
sirf ek kuza ho
jis mein chand qatre hon
sun lo aankh ka qissa
qarz apne KHwabon ka kis tarah chukati hai
mauj ke thapeDon se reza reza hoti hai
lamha lamha jalti hai TuT kar barasti hai
surKH surKH Doron mein sab thakan sameTe ye
KHwab kab samajhte hain aankh ki taDap kya hai
kitne dard palkon par yun uThae phirti hai
gahre is samundar mein kaise kaise tufan hain
toDte hain kya kya kuchh shor kaise karte hain
KHwab ek jazira hai wo kahan samajhta hai
us ki ek KHwahish par aankh kitna roti hai
aankh kitna roti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.