KHwab ke panw nahin hote hain
zindagī reshmīñ qālīn nahīñ hotī
ḳhvāb ke paañv bhī hote haiñ kahāñ
aur tamannā.eñ bhī āñkheñ nahīñ rakhtīñ
phir bhī
ḳhvāb chalte haiñ
bahut duur talak chalte haiñ
roz
nā-bīnā tamannāoñ kī unglī thāme
phir
kisī sā.at-e-nā-purs ke gumbad ke tale
dasht-e-tāsīr kī be-gosh panāhoñ meñ kahīñ
jaane kis
jazba-e-māsūm kī mauhūm sī chīḳh
ghuT ke rah jaatī hai ḳhud apne gulū ke andar
sirf ik taaza lahū kī ḳhushbū
sard pur-āb fazāoñ meñ bikhar jaatī hai
sar se pā tak jab usī ḳhuuñ meñ nahā jaate haiñ
ḳhvāb-e-nādīda thake paañv se lauT aate haiñ
zindagi reshmin qalin nahin hoti
KHwab ke panw bhi hote hain kahan
aur tamannaen bhi aankhen nahin rakhtin
phir bhi
KHwab chalte hain
bahut dur talak chalte hain
roz
na-bina tamannaon ki ungli thame
phir
kisi saat-e-na-purs ke gumbad ke tale
dasht-e-tasir ki be-gosh panahon mein kahin
jaane kis
jazba-e-masum ki mauhum si chiKH
ghuT ke rah jati hai KHud apne gulu ke andar
sirf ek taza lahu ki KHushbu
sard pur-ab fazaon mein bikhar jati hai
sar se pa tak jab usi KHun mein naha jate hain
KHwab-e-nadida thake panw se lauT aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.