KHwab KHwab ujla mandir tanha chand
ḳhvāb ḳhvāb puure niile chāñd kī ThanDī raushnī
duur zarā ik ujlā mandir aur mandir ke paas
rukī huī namnāk fazā
namnāk fazā aur ḳhvāb ḳhvāb puure niile chāñd kī ThanDī raushnī
mandir ke paas saaya saaya phirtī havā
kuchh thake hue darvāzoñ aur darīchoñ meñ
ik tanhā chāñd niilā chāñd niilī niilī raushnī
uud kī ḳhushbū chāñd ko piitī
aatī jaatī phirtī havā
ruktī havā
tiin darīche do darvāze
band kahāñ
uud kī ḳhushbū dūr-dūr phailī
Thahrī huī niilī sī fazā
niilī sī havā jo mohar-ba-lab
ḳhvāb ḳhvāb ujlā mandir tanhā chāñd
uud kī ḳhushbū duur duur kohrā kohrā phailī
shahr ke vīrāne meñ āḳhir khoyā kaun
KHwab KHwab pure nile chand ki ThanDi raushni
dur zara ek ujla mandir aur mandir ke pas
ruki hui namnak faza
namnak faza aur KHwab KHwab pure nile chand ki ThanDi raushni
mandir ke pas saya saya phirti hawa
kuchh thake hue darwazon aur darichon mein
ek tanha chand nila chand nili nili raushni
ud ki KHushbu chand ko piti
aati jati phirti hawa
rukti hawa
tin dariche do darwaze
band kahan
ud ki KHushbu dur-dur phaili
Thahri hui nili si faza
nili si hawa jo mohar-ba-lab
KHwab KHwab ujla mandir tanha chand
ud ki KHushbu dur dur kohra kohra phaili
shahr ke virane mein aaKHir khoya kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.