KHwab ki baaten
jaise dukh bhare din aate haiñ hāthoñ meñ
aise be-bas aañsū aate haiñ āñkhoñ meñ ḳhvāb nahīñ aate
ḳhvāb kī bāteñ
ḳhvāb kī ḳhvāhish meñ dukh ke din ko oḌh ke so jaa.eñ
par aañsū baras baras ke sone bhī na deñ
ġharīb kī kuTiyā kī tarah jagah jagah se paanī Tapke
jal-thal saare ghar meñ
phir ḳhushiyoñ ke pattoñ ko kin daraḳhtoñ pe jā kar talāsh kareñ
apne man ghanTī bāñdh ke baiTh rahīñ
vo aa.e to
sab dīvāreñ āñkhoñ kī ghanTī kī āvāz se jaag uThīñ
sab janmoñ kī pyaas harī ho
khol ke khiḌkī bāhar bārish kar duuñ ḳhushiyoñ kī
miTTī ke gharauñde jī uTheñ vo aa.e to
jaise dukh bhare din aate hain hathon mein
aise be-bas aansu aate hain aankhon mein KHwab nahin aate
KHwab ki baaten
KHwab ki KHwahish mein dukh ke din ko oDh ke so jaen
par aansu baras baras ke sone bhi na den
gharib ki kuTiya ki tarah jagah jagah se pani Tapke
jal-thal sare ghar mein
phir KHushiyon ke patton ko kin daraKHton pe ja kar talash karen
apne man ghanTi bandh ke baiTh rahin
wo aae to
sab diwaren aankhon ki ghanTi ki aawaz se jag uThin
sab janmon ki pyas hari ho
khol ke khiDki bahar barish kar dun KHushiyon ki
miTTi ke gharaunde ji uThen wo aae to
- Book : meyaar (Pg. 149)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.