mujh ko lauTā de mirā maazī ki vaqt-e-sang-dil
aaj maiñ bhī ai dil-e-afsurda thoḌā sabr kar
tujh se poshīda nahīñ maiñ kis qadar majbūr huuñ
aaj maiñ bhī tere kūche kā gadāgar ban gayā
ab kahāñ vo valvale maiñ ik shikastoñ kā mazār
ban ke rāh-e-justujū meñ rah gayā huuñ aaj ġham
merī nākāmī ke afsāne sunā.egā mujhe
vaqt thā jab ek aalam mere qadmoñ ke nishāñ
DhūñDhtā phirtā thā har vīrāna o har shahr meñ
aur tū hairāñ thā merī tezī-e-raftār par
yaad hai tujh ko mirī parvāz kā aalam ki jab
raat bhar mere ta.āqub meñ falak kā kārvāñ
gāmzan rahtā thā aur maiñ ne sahar se bhī pare
ik na.ī duniyā banā lī thī na.ī duniyā-e-shauq
kyoñ tirī taqdīr meñ thā aisā koī inqalāb
kyoñ tirī taufīq meñ aisī koī taḳhlīq thī
ḳhvāb merā pairahan the ḳhvāb merī zindagī
ḳhvāb mere ham-safar the ḳhvāb mere rahnumā
maiñ faqat ik ḳhvāb thā lekin mukammal ḳhvāb thā
mujh ko lauTa de mera mazi ki waqt-e-sang-dil
aaj main bhi ai dil-e-afsurda thoDa sabr kar
tujh se poshida nahin main kis qadar majbur hun
aaj main bhi tere kuche ka gadagar ban gaya
ab kahan wo walwale main ek shikaston ka mazar
ban ke rah-e-justuju mein rah gaya hun aaj gham
meri nakaami ke afsane sunaega mujhe
waqt tha jab ek aalam mere qadmon ke nishan
DhunDhta phirta tha har virana o har shahr mein
aur tu hairan tha meri tezi-e-raftar par
yaad hai tujh ko meri parwaz ka aalam ki jab
raat bhar mere taaqub mein falak ka karwan
gamzan rahta tha aur main ne sahar se bhi pare
ek nai duniya bana li thi nai duniya-e-shauq
kyon teri taqdir mein tha aisa koi inqalab
kyon teri taufiq mein aisi koi taKHliq thi
KHwab mera pairahan the KHwab meri zindagi
KHwab mere ham-safar the KHwab mere rahnuma
main faqat ek KHwab tha lekin mukammal KHwab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.