KHwab tamasha(3)
sanjay bole
utar dakshin pūrab pashchim
ab koī bhī manzar saaf nahīñ
naqshe haiñ ka.ī piile niile
do sayyāre uupar nīche
ik sūraj se Takrā hī gayā
har samt vahī piilī āñdhī
aur andhe jhakkaḌ sho.aloñ ke
tum kis nuqte kī pūchhte ho
ab koī bhī manzar saaf nahīñ
ab koī nahīñ
haañ vo bhī nahīñ
ye kis kā ḳhvāb tamāshā hai
maiñ jis meñ akelā ghūmtā huuñ
har samt vahī piilī āñdhī
aur andhe jhakkaḌ sho.aloñ ke
pal pal meñ ubhartī auj chaTaḳh kar TūTtī girtī chaTTāneñ haiñ
ab koī nahīñ
bas merī āñkheñ dekhtī haiñ
bas merī āñkheñ dekhtī haiñ
sanjay bole
utar dakshin purab pashchim
ab koi bhi manzar saf nahin
naqshe hain kai pile nile
do sayyare upar niche
ek suraj se Takra hi gaya
har samt wahi pili aandhi
aur andhe jhakkaD shoalon ke
tum kis nuqte ki puchhte ho
ab koi bhi manzar saf nahin
ab koi nahin
han wo bhi nahin
ye kis ka KHwab tamasha hai
main jis mein akela ghumta hun
har samt wahi pili aandhi
aur andhe jhakkaD shoalon ke
pal pal mein ubharti auj chaTaKH kar TuTti girti chaTTanen hain
ab koi nahin
bas meri aankhen dekhti hain
bas meri aankhen dekhti hain
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 555)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.