KHwab
vo ḳhvāb ki jin meñ jaltī thī sham.eñ tere ruḳhsāroñ kī
vo ḳhvāb ki jin meñ bantī thī tasvīr mire shahkāroñ kī
vo ḳhvāb ki jin kī tāqat se duniyā kā ruup badalnā thā
vo ḳhvāb ki jin kī ThanDak meñ sho.aloñ par mujh ko chalnā thā
vo ḳhvāb ki jin ke dāman meñ tahzīb-e-nau ke ḳhāke the
aane vaale kal kī ḳhushiyāñ guzre hue kal ke saa.e the
un ḳhvāboñ ke anjām pe ye āñkheñ sharminda hotī haiñ
vo ḳhvāb jo saare TuuT chuke un kī mayyat pe rotī haiñ
ye duniyā kitnī zālim hai ḳhvāboñ kā saudā kartī hai
ma.asūm diloñ kī ārzūeñ sikkoñ meñ taulā kartī hai
is duniyā ke har goshe meñ ġhurbat hai bhuuk hai ḳhvārī hai
kuchh ke hisse meñ sarmāya kuchh kā hissa nādārī hai
aisī duniyā meñ ḳhvāb mire zinda kaise rah sakte the
shīshe kī tarah vo nāzuk the ye Thes kahāñ sah sakte the
lekin maiñ abhī māyūs nahīñ har ġham ko ḳhushī meñ Dhālūñgā
vo ḳhvāb jo mujh se ruuTh ga.e un ḳhvāboñ ko samjhā lūñgā
maiñ phir ubhrūñgā jiine ke kuchh aur na.e armān liye
ye daur badalne ke da.ave apne haq kā elaan liye
maiñ bastī bastī ghar ghar meñ na.aroñ kī aag bichchhā dūñgā
mazlūm jafā-kash logoñ kī soī taqdīr jagā dūñgā
maiñ giit likhūñgā fasloñ par bāġhoñ khetoñ khaliyānoñ par
mill mazdūroñ kī Tolī par gaañv ke mast kisānoñ par
ab jab tak bhī maiñ zinda huuñ har dukh har sadma jhelūñgā
maiñ tūfānoñ se uljhūñgā maiñ har ḳhatre se khelūñgā
aur mar bhī gayā to dhartī ke har zarre meñ baT jā.ūñgā
maiñ har ik ke ġham kā sāthī sab kā shā.ir kahlā.ūñgā
wo KHwab ki jin mein jalti thi shamen tere ruKHsaron ki
wo KHwab ki jin mein banti thi taswir mere shahkaron ki
wo KHwab ki jin ki taqat se duniya ka rup badalna tha
wo KHwab ki jin ki ThanDak mein shoalon par mujh ko chalna tha
wo KHwab ki jin ke daman mein tahzib-e-nau ke KHake the
aane wale kal ki KHushiyan guzre hue kal ke sae the
un KHwabon ke anjam pe ye aankhen sharminda hoti hain
wo KHwab jo sare TuT chuke un ki mayyat pe roti hain
ye duniya kitni zalim hai KHwabon ka sauda karti hai
masum dilon ki aarzuen sikkon mein taula karti hai
is duniya ke har goshe mein ghurbat hai bhuk hai KHwari hai
kuchh ke hisse mein sarmaya kuchh ka hissa nadari hai
aisi duniya mein KHwab mere zinda kaise rah sakte the
shishe ki tarah wo nazuk the ye Thes kahan sah sakte the
lekin main abhi mayus nahin har gham ko KHushi mein Dhaalunga
wo KHwab jo mujh se ruTh gae un KHwabon ko samjha lunga
main phir ubhrunga jine ke kuchh aur nae arman liye
ye daur badalne ke dawe apne haq ka elan liye
main basti basti ghar ghar mein naron ki aag bichchha dunga
mazlum jafa-kash logon ki soi taqdir jaga dunga
main git likhunga faslon par baghon kheton khaliyanon par
mill mazduron ki Toli par ganw ke mast kisanon par
ab jab tak bhi main zinda hun har dukh har sadma jhelunga
main tufanon se uljhunga main har KHatre se khelunga
aur mar bhi gaya to dharti ke har zarre mein baT jaunga
main har ek ke gham ka sathi sab ka shair kahlaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.