KHwabon ki badli thi wo ek
ḳhvāboñ kī badlī thī vo ek
ghumaḌ ghumaḌ ke aadhī raat ko chhā.ī thī vo
kyā kyā na asbāb sameTe
kitne lamhe kitnī yādeñ
siilī giilī
tārīḳheñ to calendar ko
chhoḌ ke kab kī jā hī chukī thiiñ
jo bhī bachā thā
vaqt sameT ke uupar rakkhā
ghar kī ek ek chiiz pe jo vo
lams chhupā thā bah na jaa.e
us kī ḳhātir
jism pe us ko dhaar liyā thā
kuchh bhī to bachnā mushkil thā
palkoñ tak paanī aatā thā
kaisā to sailāb bapā thā
koshish itnī karne par bhī
sub.h huī to kuchh bhī mere paas nahīñ thā
aañsū tak bhī merā dāman chhoḌ chuke the
ḳhvāboñ kī kaisī badlī thī
KHwabon ki badli thi wo ek
ghumaD ghumaD ke aadhi raat ko chhai thi wo
kya kya na asbab sameTe
kitne lamhe kitni yaaden
sili gili
tariKHen to calendar ko
chhoD ke kab ki ja hi chuki thin
jo bhi bacha tha
waqt sameT ke upar rakkha
ghar ki ek ek chiz pe jo wo
lams chhupa tha bah na jae
us ki KHatir
jism pe us ko dhaar liya tha
kuchh bhi to bachna mushkil tha
palkon tak pani aata tha
kaisa to sailab bapa tha
koshish itni karne par bhi
subh hui to kuchh bhi mere pas nahin tha
aansu tak bhi mera daman chhoD chuke the
KHwabon ki kaisi badli thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.