KHwabon se Dar lagta hai
kal kā sūraj isī dahlīz pe dekhegā mujhe
kal bhī kashkol mirā shaam ko bhar jā.egā
kal kī taḳhlīq bhī hogī yahī ik nān-e-javīñ
kal bhī har din kī tarah yūñhī guzar jā.egā
bhuuk kī aag jo bujhtī hai to niind aatī hai
niind aatī hai to kuchh ḳhvāb dikhātī hai mujhe
ḳhvāb meñ milte haiñ kuchh log bichhaḌ jaate haiñ
un kī yaad aur bhī rah rah ke satātī hai mujhe
kal bhī DhūñDūñgā inheñ jā ke galī kūchoñ meñ
kal bhī mil jā.eñge in ḳhvāboñ ke paikar kitne
kal bhī ye haath lagāte hī badal jā.eñge
kal bhī pheñkeñge mirī samt ye patthar kitne
aaj kī raat mujhe niind nahīñ aa.egī
aaj kī raat mujhe ḳhvāboñ se Dar lagtā hai
kal ka suraj isi dahliz pe dekhega mujhe
kal bhi kashkol mera sham ko bhar jaega
kal ki taKHliq bhi hogi yahi ek nan-e-jawin
kal bhi har din ki tarah yunhi guzar jaega
bhuk ki aag jo bujhti hai to nind aati hai
nind aati hai to kuchh KHwab dikhati hai mujhe
KHwab mein milte hain kuchh log bichhaD jate hain
un ki yaad aur bhi rah rah ke satati hai mujhe
kal bhi DhunDunga inhen ja ke gali kuchon mein
kal bhi mil jaenge in KHwabon ke paikar kitne
kal bhi ye hath lagate hi badal jaenge
kal bhi phenkenge meri samt ye patthar kitne
aaj ki raat mujhe nind nahin aaegi
aaj ki raat mujhe KHwabon se Dar lagta hai
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 150)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.