mujhe mat kaho phuul bāġh-e-iram kā
ki phūloñ ke hisse aziyyat bahut hai
sham.a bhī na kahnā
ki jalnā bhale hī ḳhushī kā sabab ho
kisī ko jalāne meñ tohmat bahut hai
mujhe rang-o-nik.hat se yaksāniyat kī bhī chāhat nahīñ hai
nazākat kā paikar kahe jaane kī bhī mire qalb-e-vīrāñ ko hājat nahīñ hai
na hai mujh ko armāñ ki merī satā.ish meñ duniyā ke sab isti.āroñ ko haaro
havāle se mere
laboñ par tumhāre
laqab aur koī bhī jañchtā nahīñ hai
so gar ho sake to mire ġham-shanāsā
mujhe tum mire naam se hī pukāro
mujhe mat kaho phul bagh-e-iram ka
ki phulon ke hisse aziyyat bahut hai
shama bhi na kahna
ki jalna bhale hi KHushi ka sabab ho
kisi ko jalane mein tohmat bahut hai
mujhe rang-o-nikhat se yaksaniyat ki bhi chahat nahin hai
nazakat ka paikar kahe jaane ki bhi mere qalb-e-viran ko hajat nahin hai
na hai mujh ko arman ki meri sataish mein duniya ke sab istiaron ko haaro
hawale se mere
labon par tumhaare
laqab aur koi bhi janchta nahin hai
so gar ho sake to mere gham-shanasa
mujhe tum mere nam se hi pukaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.